sarisht-e-adam
bahut hī tez bārish hai
havā bhī kuchh is tūfānī
musalsal āsmāñ
ka.ī ghanTe se yaksāñ
barastā jā rahā hai
aur mirī khiḌkī pe baiThā ek kavvā
pañkh se Tapkātā paanī
āsmāñ kī naql kartā jā rahā hai
aur is se kuchh pare
chhappar pe koī ādmī-zāda
chhupā.e sar ko polythene se apnā
chhupātā sar
vo chhappar kā bhī polythene se
bilkul anokhā lag rahā hai
bahut hi tez barish hai
hawa bhi kuchh is tufani
musalsal aasman
kai ghanTe se yaksan
barasta ja raha hai
aur meri khiDki pe baiTha ek kawwa
pankh se Tapkata pani
aasman ki naql karta ja raha hai
aur is se kuchh pare
chhappar pe koi aadmi-zada
chhupae sar ko polythene se apna
chhupata sar
wo chhappar ka bhi polythene se
bilkul anokha lag raha hai
- Book : Hawa ke shamiane mein (Pg. 37)
- Author : Jafar Sahni
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.