sarmaya-dari
kaleja phuñk rahā hai aur zabāñ kahne se aarī hai
batā.ūñ kyā tumheñ kyā chiiz ye sarmāya-dārī hai
ye vo āñdhī hai jis kī rau meñ muflis kā nasheman hai
ye vo bijlī hai jis kī zad meñ har dahqāñ kā ḳhirman hai
ye apne haath meñ tahzīb kā fānūs letī hai
magar mazdūr ke tan se lahū tak chuus letī hai
ye insānī balā ḳhud ḳhūn-e-insānī kī gāhak hai
vabā se baḌh ke mohlik maut se baḌh kar bhayānak hai
na dekhe haiñ bure is ne na parkhe haiñ bhale is ne
shikanjoñ meñ jakaḌ kar ghūñT Daale haiñ gale is ne
balā-e-be-amāñ hai taur hī is ke nirāle haiñ
ki is ne ġhaiz meñ ujḌe hue ghar phūñk Daale haiñ
qayāmat is ke ġhamze jān-levā haiñ sitam is ke
hamesha sīna-e-muflis pe paḌte haiñ qadam is ke
kahīñ ye ḳhuuñ se fard-e-māl-o-zar tahrīr kartī hai
kahīñ ye haDDiyāñ chun kar mahal ta.amīr kartī hai
ġharīboñ kā muqaddas ḳhuun pī pī kar bahaktī hai
mahal meñ nāchtī hai raqs-gāhoñ meñ thiraktī hai
ba-zāhir chand fir.aunoñ kā dāman bhar diyā is ne
magar gul-bāġh-e-ālam ko jahannam kar diyā is ne
darinde sar jhukā dete haiñ lohā maan kar is kā
nazar saffāk-tar is kī nafas makrūh-tar is kā
jidhar chaltī hai barbādī ke sāmāñ saath chalte haiñ
nahūsat ham-safar hotī hai shaitāñ saath chalte haiñ
ye akasr luuT kar ma.asūm insānoñ ko rāhoñ meñ
ḳhudā ke zamzame gaatī hai chhup kar ḳhānqāhoñ meñ
ye Daa.in hai bharī godoñ se bachche chhīn letī hai
ye ġhairat chhīn letī hai hamiyyat chhīn letī hai
ye insānoñ se insānoñ kī fitrat chhīn letī hai
ye āshob-e-halākat fitna-e-iskandar-o-dārā
zamīñ ke devtāoñ kī kanīz-e-anjuman-ārā
hamesha ḳhuun pī kar haDDiyoñ ke rath meñ chaltī hai
zamāna chīḳh uThtā hai ye jab pahlū badaltī hai
garajtī gūñjtī ye aaj bhī maidāñ meñ aatī hai
magar bad-mast hai har har qadam par laḌkhaḌātī hai
mubārak dosto labrez hai ab is kā paimāna
uThāo āñdhiyāñ kamzor hai buniyād-e-kāshāna
kaleja phunk raha hai aur zaban kahne se aari hai
bataun kya tumhein kya chiz ye sarmaya-dari hai
ye wo aandhi hai jis ki rau mein muflis ka nasheman hai
ye wo bijli hai jis ki zad mein har dahqan ka KHirman hai
ye apne hath mein tahzib ka fanus leti hai
magar mazdur ke tan se lahu tak chus leti hai
ye insani bala KHud KHun-e-insani ki gahak hai
waba se baDh ke mohlik maut se baDh kar bhayanak hai
na dekhe hain bure is ne na parkhe hain bhale is ne
shikanjon mein jakaD kar ghunT Dale hain gale is ne
bala-e-be-aman hai taur hi is ke nirale hain
ki is ne ghaiz mein ujDe hue ghar phunk Dale hain
qayamat is ke ghamze jaan-lewa hain sitam is ke
hamesha sina-e-muflis pe paDte hain qadam is ke
kahin ye KHun se fard-e-mal-o-zar tahrir karti hai
kahin ye haDDiyan chun kar mahal tamir karti hai
gharibon ka muqaddas KHun pi pi kar bahakti hai
mahal mein nachti hai raqs-gahon mein thirakti hai
ba-zahir chand firaunon ka daman bhar diya is ne
magar gul-bagh-e-alam ko jahannam kar diya is ne
darinde sar jhuka dete hain loha man kar is ka
nazar saffak-tar is ki nafas makruh-tar is ka
jidhar chalti hai barbaadi ke saman sath chalte hain
nahusat ham-safar hoti hai shaitan sath chalte hain
ye akasr luT kar masum insanon ko rahon mein
KHuda ke zamzame gati hai chhup kar KHanqahon mein
ye Dain hai bhari godon se bachche chhin leti hai
ye ghairat chhin leti hai hamiyyat chhin leti hai
ye insanon se insanon ki fitrat chhin leti hai
ye aashob-e-halakat fitna-e-iskandar-o-dara
zamin ke dewtaon ki kaniz-e-anjuman-ara
hamesha KHun pi kar haDDiyon ke rath mein chalti hai
zamana chiKH uThta hai ye jab pahlu badalti hai
garajti gunjti ye aaj bhi maidan mein aati hai
magar bad-mast hai har har qadam par laDkhaDati hai
mubarak dosto labrez hai ab is ka paimana
uThao aandhiyan kamzor hai buniyaad-e-kashana
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.