sarmaya-e-jaan
ye sab ne dekhā
ki sāz-e-gul se nikal ke ḳhushbū kā ek jhoñkā
hazār naġhme sunā gayā hai
magar kisī ko nazar na aayā ki is ke parde meñ gul ne apnā
tamām jauhar luTā diyā hai
ye merī sochoñ kī sabz ḳhushbū
ye merī nazmeñ ye merā jauhar
ye mere lafzoñ ke shāhazāde
ye merī āvāz ke musāfir
nikal ke hoñToñ kī vādiyoñ se
ḳhamoshiyoñ ke muhīb jañgal meñ āhaToñ ke fareb khāte
nashāt-e-manzil kī justujū meñ
udaas rastoñ pe chal rahe haiñ
safar ke dozaḳh meñ jal rahe haiñ
ye sab ne dekha
ki saz-e-gul se nikal ke KHushbu ka ek jhonka
hazar naghme suna gaya hai
magar kisi ko nazar na aaya ki is ke parde mein gul ne apna
tamam jauhar luTa diya hai
ye meri sochon ki sabz KHushbu
ye meri nazmen ye mera jauhar
ye mere lafzon ke shahazade
ye meri aawaz ke musafir
nikal ke honTon ki wadiyon se
KHamoshiyon ke muhib jangal mein aahaTon ke fareb khate
nashat-e-manzil ki justuju mein
udas raston pe chal rahe hain
safar ke dozaKH mein jal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.