sarmaya
kabhī
be-kaifī aur bechainī meñ
safar pe niklo
to
ghar se duur hone kā
ehsās
har lahza ai valvale jagātā hai
aur na.ī ḳhvāhish ko ā.īna dikhātā hai
bikharte
TūTte
lamhoñ
majbūrī
aur
mahjūrī ke aalam meñ
bas yahī chiiz kaam aatī hai
kabhi
be-kaifi aur bechaini mein
safar pe niklo
to
ghar se dur hone ka
ehsas
har lahza ai walwale jagata hai
aur nai KHwahish ko aaina dikhata hai
bikharte
TuTte
lamhon
majburi
aur
mahjuri ke aalam mein
bas yahi chiz kaam aati hai
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 87)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.