sarojini-naidu
aziiz maañ mirī hañsmukh mirī bahādur maañ
tamām jauhar-e-fitrat jagā diye tū ne
mohabbat apne chaman se guloñ se ḳhāroñ se
mohabbatoñ ke ḳhazāne luTā diye tū ne
banā banā ke miTā.e ga.e nuqūsh-e-amal
tire baġhair mukammal na ho sakī tasvīr
vo ḳhvāb jhāñsī kī raanī ko jis ne chauñkāyā
tirā gihād-e-musalsal usī kī hai ta.abīr
use hayāt kā sola siñgār kahte haiñ
tirī jabīñ pe haiñ kuchh silvaTeñ bhī Tiikā bhī
nazar meñ jazb-e-yaqīñ dil meñ soz-e-āzādī
dahaktā phuul bhī hai tū mahaktā sho.ala bhī
zarā zamīn ko mehvar pe ghuum lene de
samāj tujh se tirā soz-o-sāz māñgegī
jamāl sīkhegā ḳhud-e'timādiyāñ tujh se
hayāt-e-nau tire dil kā gudāz māñgegī
aziz man meri hansmukh meri bahadur man
tamam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne
mohabbat apne chaman se gulon se KHaron se
mohabbaton ke KHazane luTa diye tu ne
bana bana ke miTae gae nuqush-e-amal
tere baghair mukammal na ho saki taswir
wo KHwab jhansi ki rani ko jis ne chaunkaya
tera gihad-e-musalsal usi ki hai tabir
use hayat ka sola singar kahte hain
teri jabin pe hain kuchh silwaTen bhi Tika bhi
nazar mein jazb-e-yaqin dil mein soz-e-azadi
dahakta phul bhi hai tu mahakta shoala bhi
zara zamin ko mehwar pe ghum lene de
samaj tujh se tera soz-o-saz mangegi
jamal sikhega KHud-e'timadiyan tujh se
hayat-e-nau tere dil ka gudaz mangegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.