sarosh
ye samundar
mauj-dar-mauj salāsil
halke gahre sabz niile rañg
jin par jā-ba-jā chāñdī ke dhabbe
us kināre par gulābī rañg meñ Duubā huā ik gol chehra
phailte paanī meñ apne ātishīñ hoñToñ kī surḳhī gholtā jaa.e
maiñ ik sone kī kashtī meñ savār
un hasīñ rañgoñ meñ mad.hosh
us kināre kī taraf baḌhtā chalā jaatā huuñ
duur sat.h-e-āb par vo ek bagloñ kī qatār
ye samundar ke rishī gyānī
jo paanī ke har ik sur-tāl se āgāh haiñ
ab tak ye be-fikrī se maujoñ par savār
tairte jaate the
kyuuñ phir daf.atan
Tolī banā kar uḌ ga.e
maiñ nazar ke taar par raqsāñ
vo naġhmoñ ke suroñ meñ gum
ye samundar
mauj-dar-mauj salasil
halke gahre sabz nile rang
jin par ja-ba-ja chandi ke dhabbe
us kinare par gulabi rang mein Duba hua ek gol chehra
phailte pani mein apne aatishin honTon ki surKHi gholta jae
main ek sone ki kashti mein sawar
un hasin rangon mein madhosh
us kinare ki taraf baDhta chala jata hun
dur sath-e-ab par wo ek baglon ki qatar
ye samundar ke rishi gyani
jo pani ke har ek sur-tal se aagah hain
ab tak ye be-fikri se maujon par sawar
tairte jate the
kyun phir dafatan
Toli bana kar uD gae
main nazar ke tar par raqsan
wo naghmon ke suron mein gum
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-262 p-250)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.