sat-rangi qaus-e-quzah ke nam
maiñ ki ik jannat-e-arzī se chalā aayā huuñ
biitī yādoñ kī mahak dil meñ chhupā laayā huuñ
jis jagah kausar-o-tasnīm kī nahreñ thiiñ ravāñ
jis jagah apnī tamannāoñ kī duniyā thī javāñ
nūr-e-aiman thā surayyā kī nigāhoñ meñ jahāñ
shāḳh-e-nasrīn thī farhīn kī bāñhoñ meñ jahāñ
jis jagah farhat-o-nuz.hat kī havā chaltī thī
ban ke taz.īn-e-dar-o-bām sabā chaltī thī
lab-e-ḳhāmosh se phūTā thā tarannum jis jā
mere hoñToñ ne bhī sīkhā thā tabassum jis jā
nīlgūñ āñkhoñ se Tapke hue tāroñ kī kiran
chand biite hue lamhāt kī yādoñ kī jalan
maiñ usī gum-shuda jannat se churā laayā huuñ
maiñ ki ik jannat-e-arzī se chalā aayā huuñ
main ki ek jannat-e-arzi se chala aaya hun
biti yaadon ki mahak dil mein chhupa laya hun
jis jagah kausar-o-tasnim ki nahren thin rawan
jis jagah apni tamannaon ki duniya thi jawan
nur-e-aiman tha surayya ki nigahon mein jahan
shaKH-e-nasrin thi farhin ki banhon mein jahan
jis jagah farhat-o-nuzhat ki hawa chalti thi
ban ke tazin-e-dar-o-baam saba chalti thi
lab-e-KHamosh se phuTa tha tarannum jis ja
mere honTon ne bhi sikha tha tabassum jis ja
nilgun aankhon se Tapke hue taron ki kiran
chand bite hue lamhat ki yaadon ki jalan
main usi gum-shuda jannat se chura laya hun
main ki ek jannat-e-arzi se chala aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.