sati
ai satī ai jalva-gāh-e-shola-e-tanvīr-e-husn
pāk-dāmānī kā naqsha hai tirī tasvīr-e-husn
ye tan-e-nāzuk tirā ye shola-hā-e-ātshīñ
ye chitā kī ātish-e-sozāñ ye jism-e-nāznīñ
sā.iqa hai barq kā tere dil-e-muztar kī aag
phūñk detī hai tujhe soz-e-ġham-e-shauhar kī aag
ḳhaak ho kar bhī tire dāġh-e-jigar bujhte nahīñ
aah terī raakh ke barsoñ sharar bujhte nahīñ
hind ko hai naaz terī himmat-e-mardāna par
tū charāġh-e-kushta hai ḳhākistar-e-parvāna par
aag meñ hai tū sapind-e-shauq jalne ke liye
sham-e-mātam hai shab-e-ġham meñ pighalne ke liye
garmi-e-hañgāma-e-mahshar tirī mahfil meñ hai
sard jo hotī nahīñ vo aag tere dil meñ hai
kab gavārā aah hai soz-e-ġham-e-shauhar tujhe
hai har ik tār-e-nafas ik shola-e-muztar tujhe
uf rī shauhar kī chitā par shola-afrozī tirī
jīte-jī soz-e-mohabbat meñ jigar-sozī tirī
jāñ-gudāzī kī adā ye sham-e-mahfil meñ kahāñ
garmi-e-soz-e-vafā ye sham-e-mahfil meñ kahāñ
vo chitā kī ātish-e-jāñ-soz vo dūd-e-siyāh
shauhar-e-murda kā sar vo zānū-e-nāzuk pe aah
aag ke vo haa.e shole aur vo mukhḌā chāñd sā
lab pe kam kam shoḳhi-e-barq-e-tabassum kī adā
halkā phulkā jism-e-nāzuk par dupaTTa surḳh surḳh
vasl-e-rūhānī kī shādī se vo chehra surḳh surḳh
ālam-e-dūd-e-siyah vo zulf-e-ambar-fām meñ
dauḌne vaale vo shole halqa-hā-e-dām meñ
ātish-e-sozāñ meñ bhī vo aah shauhar kā ḳhayāl
aur vo dil meñ garmi-e-hañgāma-e-shauq-e-visāl
jal ke soz-e-iztirāb-e-shauq meñ parvāna-vār
ḳhuld meñ shauhar se honā uf vo ḳhush ḳhush ham-kanār
Daal denā vo gale meñ hañs ke bāñheñ pyaar se
dil lubhā lenā adā-e-sheva-e-guftār se
halkī halkī chāndnī kaifiyat-e-gul-gasht-e-bāġh
vo lab-e-jū aah husn o ishq ke do shab charāġh
tujh pe ai nāz-āfrīñ shauhar-parastī ḳhatm hai
ik sharār-e-ārzū meñ terī hastī ḳhatm hai
ai sati ai jalwa-gah-e-shola-e-tanwir-e-husn
pak-damani ka naqsha hai teri taswir-e-husn
ye tan-e-nazuk tera ye shola-ha-e-atshin
ye chita ki aatish-e-sozan ye jism-e-naznin
saiqa hai barq ka tere dil-e-muztar ki aag
phunk deti hai tujhe soz-e-gham-e-shauhar ki aag
KHak ho kar bhi tere dagh-e-jigar bujhte nahin
aah teri rakh ke barson sharar bujhte nahin
hind ko hai naz teri himmat-e-mardana par
tu charagh-e-kushta hai KHakistar-e-parwana par
aag mein hai tu sapind-e-shauq jalne ke liye
sham-e-matam hai shab-e-gham mein pighalne ke liye
garmi-e-hangama-e-mahshar teri mahfil mein hai
sard jo hoti nahin wo aag tere dil mein hai
kab gawara aah hai soz-e-gham-e-shauhar tujhe
hai har ek tar-e-nafas ek shola-e-muztar tujhe
uf ri shauhar ki chita par shola-afrozi teri
jite-ji soz-e-mohabbat mein jigar-sozi teri
jaan-gudazi ki ada ye sham-e-mahfil mein kahan
garmi-e-soz-e-wafa ye sham-e-mahfil mein kahan
wo chita ki aatish-e-jaan-soz wo dud-e-siyah
shauhar-e-murda ka sar wo zanu-e-nazuk pe aah
aag ke wo hae shole aur wo mukhDa chand sa
lab pe kam kam shoKHi-e-barq-e-tabassum ki ada
halka phulka jism-e-nazuk par dupaTTa surKH surKH
wasl-e-ruhani ki shadi se wo chehra surKH surKH
aalam-e-dud-e-siyah wo zulf-e-ambar-fam mein
dauDne wale wo shole halqa-ha-e-dam mein
aatish-e-sozan mein bhi wo aah shauhar ka KHayal
aur wo dil mein garmi-e-hangama-e-shauq-e-visal
jal ke soz-e-iztirab-e-shauq mein parwana-war
KHuld mein shauhar se hona uf wo KHush KHush ham-kanar
Dal dena wo gale mein hans ke banhen pyar se
dil lubha lena ada-e-shewa-e-guftar se
halki halki chandni kaifiyat-e-gul-gasht-e-bagh
wo lab-e-ju aah husn o ishq ke do shab charagh
tujh pe ai naz-afrin shauhar-parasti KHatm hai
ek sharar-e-arzu mein teri hasti KHatm hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.