sattar maon ka pyar
kitāboñ kā ziina banā kar
machānī se maiñ ne miThā.ī churā.ī to
ghar meñ kisī ko bhī ġhussa na aayā
ye kam-sin zehānat kī tāsīr thī
yā sharārat kī shīrīñ shakar-qandiyoñ jaisī umroñ kī lazzat
abhī tak vo ḳhush-zā.eqa vāqi.a
jab rag-e-jāñ meñ ghultā hai
bachpan ke bāġhāt kī titliyāñ
phuul ban kar barastī haiñ
pathrīlī umroñ ke din raat kī
zard kaalī musībat kā ġham bhuul kar
muskurāhaT kī mīThī phuvāreñ
bayābāñ ko jal-thal banātī haiñ gaatī haiñ
ek do tiin
allāh miyāñ kī zamīn
chaar pāñch chhe saat
saare mil kar khā.eñ bhaat
aaTh nau das paanī mīThā ras
paanī kī lahroñ pe hachkole khātī huī
kāġhazī-umr kī naav
karvaT badal kar ulaT detī hai ḳhvāb saare
kitāboñ pe girte hue āñsuoñ se
siyāhī ke dariyā hī bante haiñ
dariyā samundar banāte haiñ
saare samundar siyāhī qalam ban ga.iiñ saarī shāḳheñ
qasam uñgliyoñ kī
mohabbat bharā ḳhat mire aur tire darmiyāñ tiir hai
maiñ likkhūñ aur likhtā rahūñ tā-qayāmat
mohabbat kī nazmeñ
magar jāniyāñ in kitāboñ ko ziina banā kar
ka.ī baar maiñ ne
tire āsmānoñ pe jā kar
tujhe DhūñD laane kī nākām koshish meñ
aañsū bahā.e
siyāhī ke dariyā banā.e
kahāñ hai tū ḳhud apnī shīrīñ sadā se
mirī tīra-baḳhtī meñ
shubhrāt kī misriyāñ ghol de
maañ to nārāz hai
ab ka.ī roz se boltī bhī nahīñ
kitabon ka zina bana kar
machani se main ne miThai churai to
ghar mein kisi ko bhi ghussa na aaya
ye kam-sin zehanat ki tasir thi
ya shararat ki shirin shakar-qandiyon jaisi umron ki lazzat
abhi tak wo KHush-zaeqa waqia
jab rag-e-jaan mein ghulta hai
bachpan ke baghat ki titliyan
phul ban kar barasti hain
pathrili umron ke din raat ki
zard kali musibat ka gham bhul kar
muskurahaT ki miThi phuwaren
bayaban ko jal-thal banati hain gati hain
ek do tin
allah miyan ki zamin
chaar panch chhe sat
sare mil kar khaen bhat
aaTh nau das pani miTha ras
pani ki lahron pe hachkole khati hui
kaghazi-umr ki naw
karwaT badal kar ulaT deti hai KHwab sare
kitabon pe girte hue aansuon se
siyahi ke dariya hi bante hain
dariya samundar banate hain
sare samundar siyahi qalam ban gain sari shaKHen
qasam ungliyon ki
mohabbat bhara KHat mere aur tere darmiyan tir hai
main likkhun aur likhta rahun ta-qayamat
mohabbat ki nazmen
magar jaaniyan in kitabon ko zina bana kar
kai bar main ne
tere aasmanon pe ja kar
tujhe DhunD lane ki nakaam koshish mein
aansu bahae
siyahi ke dariya banae
kahan hai tu KHud apni shirin sada se
meri tira-baKHti mein
shubhraat ki misriyan ghol de
man to naraaz hai
ab kai roz se bolti bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.