sauda-gar
lo gajar baj gayā
sub.h hone ko hai
din nikalte hī ab maiñ chalā jā.ūñgā
ajnabī shāh-rāhoñ pe phir
kāsa-e-chashm le le ke ek ek chehra takūñgā
daftaroñ kār-ḳhānoñ meñ tālīm-gāhoñ meñ jā kar
apnī qīmat lagāne kī koshish karūñgā
merī ārām-e-jāñ
mujh ko ik baar phir dekh lo
aaj kī shaam lauTūñgā jab
bech kar apne shaffāf dil kā lahū
apnī jholī meñ chāñdī ke TukḌe liye
tum bhī mujh ko na pahchān pā.īñ to phir
maiñ kahāñ jā.ūñgā
kis se jā kar kahūñgā ki maiñ kaun thā
kis se jā kar kahūñgā ki maiñ kaun huuñ
lo gajar baj gaya
subh hone ko hai
din nikalte hi ab main chala jaunga
ajnabi shah-rahon pe phir
kasa-e-chashm le le ke ek ek chehra takunga
daftaron kar-KHanon mein talim-gahon mein ja kar
apni qimat lagane ki koshish karunga
meri aaram-e-jaan
mujh ko ek bar phir dekh lo
aaj ki sham lauTunga jab
bech kar apne shaffaf dil ka lahu
apni jholi mein chandi ke TukDe liye
tum bhi mujh ko na pahchan pain to phir
main kahan jaunga
kis se ja kar kahunga ki main kaun tha
kis se ja kar kahunga ki main kaun hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.