saudagar
suno
maiñ huuñ kuchh bechne aayā
agar tum ko zarūrat ho
to phir kuchh bhaav karte haiñ
mire hisse kī sab ḳhushiyāñ
mire hoñToñ kī har muskān
mirī ye ruuh ye jism-o-jāñ
tum apne naam likhvā lo
maiñ huuñ be-nām ik banda
ki sab kuchh mujh se le kar tum
mujhe ik naam de denā
ki apnī zindagānī se
mujhe ik shaam de denā
suno
main hun kuchh bechne aaya
agar tum ko zarurat ho
to phir kuchh bhaw karte hain
mere hisse ki sab KHushiyan
mere honTon ki har muskan
meri ye ruh ye jism-o-jaan
tum apne nam likhwa lo
main hun be-nam ek banda
ki sab kuchh mujh se le kar tum
mujhe ek nam de dena
ki apni zindagani se
mujhe ek sham de dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.