saugandhi
Interesting Fact
Dedicated to the legendary fiction writer Manto. The central character of one of his short stories 'Hatak' was a whore named Sugandhi.
badī bharī ye boriyāñ
na jaane kaun moḌ tak
hamāre saath jā.eñgī
safed chādaroñ meñ kis ne raat ko chhupā liyā
hamārī zillatoñ se kis ne apne uzv uzv ko sajā liyā
ki aaj naaf ke qarīb ḳhvāhishoñ kī bhiiḌ hai
udhar vo gumbadoñ kī guuñj
jañgaloñ ko jaane vaale rāste
palaT paḌe
tirī galī meñ har taraf se aa rahe haiñ bheḌiye
kivāḌ khol dekh kaisā jashn hai
havā bharā vo chāñd
saat inch nīche aa gayā
ġhizā milegī chiyūñTiyoñ ko terā kaam ho gayā
hamāre nāḳhunoñ ke mail se
tere badan ke ghaav bhar ga.e
ye hādsa bhī ho gayā
magar kahāñ se biich meñ ye āsmān aa gayā
badi bhari ye boriyan
na jaane kaun moD tak
hamare sath jaengi
safed chadaron mein kis ne raat ko chhupa liya
hamari zillaton se kis ne apne uzw uzw ko saja liya
ki aaj naf ke qarib KHwahishon ki bhiD hai
udhar wo gumbadon ki gunj
jangalon ko jaane wale raste
palaT paDe
teri gali mein har taraf se aa rahe hain bheDiye
kiwaD khol dekh kaisa jashn hai
hawa bhara wo chand
sat inch niche aa gaya
ghiza milegi chiyunTiyon ko tera kaam ho gaya
hamare naKHunon ke mail se
tere badan ke ghaw bhar gae
ye hadsa bhi ho gaya
magar kahan se bich mein ye aasman aa gaya
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 437)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.