sauraj
hai kal kī abhī baat ki the hind ke sartāj
dete the tumheñ aa ke salātīn-e-zaman baaj
kyā rang zamāne ne ye badlā hai ki tum ko
duniyā kī har ik qaum samajhtī hai zalīl aaj
dāmān-e-nigah jis kī fazā ke liye thā tañg
vo baaġh huā dekhte hī dekhte tārāj
jab tak rahe tum dast-nigar apne ḳhudā ke
hone na diyā us ne tumheñ ġhair kā muhtāj
jo ho ga.e us ke vo huā un kā nigahbāñ
us kī hai jinheñ sharm hai un kī bhī use laaj
miT jaao magar haq ko na miTte hue dekho
sīkho ye ravish gar tumheñ lenā hai svārāj
hai kal ki abhi baat ki the hind ke sartaj
dete the tumhein aa ke salatin-e-zaman baj
kya rang zamane ne ye badla hai ki tum ko
duniya ki har ek qaum samajhti hai zalil aaj
daman-e-nigah jis ki faza ke liye tha tang
wo bagh hua dekhte hi dekhte taraj
jab tak rahe tum dast-nigar apne KHuda ke
hone na diya us ne tumhein ghair ka muhtaj
jo ho gae us ke wo hua un ka nigahban
us ki hai jinhen sharm hai un ki bhi use laj
miT jao magar haq ko na miTte hue dekho
sikho ye rawish gar tumhein lena hai swaraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.