ik sañg tarāsh jis ne barsoñ
hīroñ kī tarah sanam tarāshe
aaj apne sanam-kade meñ tanhā
majbūr niDhāl zaḳhm-ḳhurda
din raat paḌā karāhtā hai
chehre pe ujaaḌ zindagī ke
lamhāt kī an-ginat ḳharāsheñ
āñkhoñ ke shikasta marqadoñ meñ
rūThī huī hasratoñ kī lāsheñ
sāñsoñ kī thakan badan kī ThanDak
ehsās se kab talak lahū le
hāthoñ meñ kahāñ sakat ki baḌh kar
ḳhud-sāḳhta pīkarāñ ko chhū le
ye zaḳhm-e-talab ye nā-murādī
har but ke laboñ pe hai tabassum
ai tesha-ba-dast devtāo!
taḳhlīq aziim hai ki ḳhāliq
insān javāb chāhtā hai
ek sang tarash jis ne barson
hiron ki tarah sanam tarashe
aaj apne sanam-kade mein tanha
majbur niDhaal zaKHm-KHurda
din raat paDa karahta hai
chehre pe ujaD zindagi ke
lamhat ki an-ginat KHarashen
aankhon ke shikasta marqadon mein
ruThi hui hasraton ki lashen
sanson ki thakan badan ki ThanDak
ehsas se kab talak lahu le
hathon mein kahan sakat ki baDh kar
KHud-saKHta pikaran ko chhu le
ye zaKHm-e-talab ye na-muradi
har but ke labon pe hai tabassum
ai tesha-ba-dast dewtao!
taKHliq azim hai ki KHaliq
insan jawab chahta hai
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 321)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.