sawal andar sawal
sūraj Duubā kahāñ gayā vo
saarā din ye chāñd kahāñ thā
niiñd meñ Duube band āñkhoñ meñ ḳhvāb kidhar se aate haiñ
bāġhoñ meñ ye rañgoñ ke sailāb kidhar se aate haiñ
bulbul aise pyāre naġhme kis se siikh ke aatī hai
sabza kaise jī uThtā hai titlī kyuuñ mar jaatī hai
lākhoñ Tan ye lohā kaise āsmān meñ uḌtā hai
bijlī kaise jal uThtī hai pañkhā kaise chaltā hai
bādal kaise ban jaate haiñ bārish kaise hotī hai
din hotā hai ek jagah to raat kahīñ pe hotī hai
soch soch ke thak ga.e ham to in bātoñ kā matlab āḳhir
kaun hameñ samjhā.egā
itne saare in rāzoñ se parda kaun uThā.egā
pyāre bachchoñ mat ghabrāo
aur zarā nazdīk aa jaao
baat hamārī ġhaur se sun lo
is nukte ko ḳhuub samajh lo
ilm hī aisā rasta hai jo manzil tak le jā.egā
har mushkil āsān karegā har gutthī suljhā.egā
suraj Duba kahan gaya wo
sara din ye chand kahan tha
nind mein Dube band aankhon mein KHwab kidhar se aate hain
baghon mein ye rangon ke sailab kidhar se aate hain
bulbul aise pyare naghme kis se sikh ke aati hai
sabza kaise ji uThta hai titli kyun mar jati hai
lakhon Tan ye loha kaise aasman mein uDta hai
bijli kaise jal uThti hai pankha kaise chalta hai
baadal kaise ban jate hain barish kaise hoti hai
din hota hai ek jagah to raat kahin pe hoti hai
soch soch ke thak gae hum to in baaton ka matlab aaKHir
kaun hamein samjhaega
itne sare in raazon se parda kaun uThaega
pyare bachchon mat ghabrao
aur zara nazdik aa jao
baat hamari ghaur se sun lo
is nukte ko KHub samajh lo
ilm hi aisa rasta hai jo manzil tak le jaega
har mushkil aasan karega har gutthi suljhaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.