sawal aur jawab
apne pichhle janam meñ kyā thā maiñ
kaun thā kyā thī merī haisiyyat
got kyā vansh kaisā thā merā
kab kahāñ kaise zindagī biitī
maut kab aa.ī kyā huā thā mujhe
ik na.ī juun paane ke pashchāt
koī bhī pūchhtā nahīñ ye savāl
kyā paḌī hai kisī ko ye soche
vo janam jo guzār aaya huuñ
us meñ kyā kyā sabaq haiñ mere liye
aur pūchheñ bhī to batā.egā kaun
bhiiḌ se ye kahā tathāgat ne
ḳhud se pūchhoge ye savāl agar
'ain-mumkin hai kuchh javāb mile
apne pichhle janam mein kya tha main
kaun tha kya thi meri haisiyyat
got kya wansh kaisa tha mera
kab kahan kaise zindagi biti
maut kab aai kya hua tha mujhe
ek nai jun pane ke pashchat
koi bhi puchhta nahin ye sawal
kya paDi hai kisi ko ye soche
wo janam jo guzar aaya hun
us mein kya kya sabaq hain mere liye
aur puchhen bhi to bataega kaun
bhiD se ye kaha tathagat ne
KHud se puchhoge ye sawal agar
'ain-mumkin hai kuchh jawab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.