sawal
ek patthar pe baiThe hue
jhiil meñ paañv Daale
maiñ ye sochtā huuñ
shab-o-roz kā ye tamāshā bhī kyoñ hai
āsmāñ kī bulandī
jo ik an-chhuā raaz hai
vo kyā hai
mere vijdān ne
ruuh kī be-qarārī ko taskīn dene kī ḳhātir banāyā
ḳhudā hai
ḳhudā hai zamīñ hai zamāñ hai
shab-o-roz haiñ chāñd sūraj sitāre
āsmāñ kī bulandī jo ik an-chhuā raaz hai
har ghaḌī in hazāroñ baras kī har ik chiiz ke darmiyāñ
zamāne kā badlā huā sā kuchh andāz hai
kā.enāt ik ajab bhed se pur koī dilrubā hai
aur in sab ke mābain koī batā.e
ki mere tashaḳhḳhus kā hai kuchh havāla
to kyā hai
ek patthar pe baiThe hue
jhil mein panw Dale
main ye sochta hun
shab-o-roz ka ye tamasha bhi kyon hai
aasman ki bulandi
jo ek an-chhua raaz hai
wo kya hai
mere wijdan ne
ruh ki be-qarari ko taskin dene ki KHatir banaya
KHuda hai
KHuda hai zamin hai zaman hai
shab-o-roz hain chand suraj sitare
aasman ki bulandi jo ek an-chhua raaz hai
har ghaDi in hazaron baras ki har ek chiz ke darmiyan
zamane ka badla hua sa kuchh andaz hai
kaenat ek ajab bhed se pur koi dilruba hai
aur in sab ke mabain koi batae
ki mere tashaKHKHus ka hai kuchh hawala
to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.