sawal
haath dekhte ho tum
aur mujh se kahte ho
vaah kyā muqaddar hai
aur umr bhī lambī
bas zarā ḳhasāra hai
naam terā le ke maiñ
ḳhud se pūchhtī huuñ ye
ba.ad tere jaane ke
aur kyā ḳhasāra ye
umr chāhe lambī ho
maut ke liye āḳhir
saañs ruknā lāzim hai
hath dekhte ho tum
aur mujh se kahte ho
wah kya muqaddar hai
aur umr bhi lambi
bas zara KHasara hai
nam tera le ke main
KHud se puchhti hun ye
baad tere jaane ke
aur kya KHasara ye
umr chahe lambi ho
maut ke liye aaKHir
sans rukna lazim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.