sawal
ham apne ḳhvāb-e-ḳhush-fahmī se uTThe
bahut shādāñ-o-farhāñ
chale duniyā kī jānib mol karne ko
hamārī jeb meñ mehr-o-vafā iḳhlās aur sachchā.ī hai
lekin
yahāñ bāzār meñ sab log kahte haiñ
badal kar rah ga.ī hai ab currency is zamāne kī
tumhāre paas to jo kuchh bhī hai
be-kār raddī hai
ki ab vaq.at nahīñ hai koī jis kī
yahāñ to ab faqat
makr-o-fareb aur jhuuT kā sikka chalegā
agar ye paas hai
to saarī duniyā hai tumhārī
hamārī sādgī par
ik zamāna hañs rahā hai
jise dekho ta.ajjub se yahī vo pūchhtā hai
kahāñ tum ab talak so.e hue the
ki duniyā is qadar tabdīl hone kī ḳhabar tum tak nahīñ pahuñchī
nahīñ ma.alūm ye kyā mājrā hai
vagarna ham to sunte aa.e the ab tak
ki jo ik arsa mahv-e-ḳhvāb rahte haiñ
kisī behtar zamāne meñ uThā karte haiñ
lekin
hamāre saath ye kyā ho gayā hai
hum apne KHwab-e-KHush-fahmi se uTThe
bahut shadan-o-farhan
chale duniya ki jaanib mol karne ko
hamari jeb mein mehr-o-wafa iKHlas aur sachchai hai
lekin
yahan bazar mein sab log kahte hain
badal kar rah gai hai ab currency is zamane ki
tumhaare pas to jo kuchh bhi hai
be-kar raddi hai
ki ab waqat nahin hai koi jis ki
yahan to ab faqat
makr-o-fareb aur jhuT ka sikka chalega
agar ye pas hai
to sari duniya hai tumhaari
hamari sadgi par
ek zamana hans raha hai
jise dekho tajjub se yahi wo puchhta hai
kahan tum ab talak soe hue the
ki duniya is qadar tabdil hone ki KHabar tum tak nahin pahunchi
nahin malum ye kya majra hai
wagarna hum to sunte aae the ab tak
ki jo ek arsa mahw-e-KHwab rahte hain
kisi behtar zamane mein uTha karte hain
lekin
hamare sath ye kya ho gaya hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 137)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.