sawal
maiñ un irādoñ se pūchhtā huuñ
ki jin meñ haiñ
ḳhvāhishāt ke be-shumār fitne
jo aaj tak juuñ ke tuuñ haiñ qaa.em
ibtidā se
vajūd jin kā amal meñ aaya hai
nān-e-gandum se aur sazā se
tazād jis meñ
huā hai paidā
aag se aur āb-o-gil se
ki zindagī yuuñ hī aur kab tak
kisī māhī-e-be-āb kī sī
qafas qafas mubtalā rahegī
main un iradon se puchhta hun
ki jin mein hain
KHwahishat ke be-shumar fitne
jo aaj tak jun ke tun hain qaem
ibtida se
wajud jin ka amal mein aaya hai
nan-e-gandum se aur saza se
tazad jis mein
hua hai paida
aag se aur aab-o-gil se
ki zindagi yun hi aur kab tak
kisi mahi-e-be-ab ki si
qafas qafas mubtala rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.