Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal sawal siyah kashkol

Ejaz Rahi

sawal sawal siyah kashkol

Ejaz Rahi

MORE BYEjaz Rahi

    muddatoñ se

    ḳhamoshī ke be-ant varnoñ andhī guphā meñ

    khaḌā vo

    mirī putliyoñ meñ

    savāloñ neza utāre hue pūchhtā hai

    maiñ terī tamannā meñ apne liye

    dard ke ik siyah-rū samundar se

    tanhā.iyoñ ke siyah siip laayā

    sukh ke saare diye

    aur

    masarrat mālāoñ ko toḌ kar

    dukh var maiñ ne māñgā

    ki merī rakhshā ko aa.e

    magar mujh ko kyoñ

    in aziyyat kaalī salīboñ pe

    ḳhāmoshiyoñ darinda-sifat kiil se jaḌ diyā hai

    mujhe kis liye

    kaale shabdoñ ke be-nūr kīchaḌ meñ

    pheñkā gayā hai

    siyah raat mātamī saaz chheḌe

    bujhī bāñjh nazroñ se vo pūchhtā hai

    maiñ ik var ḳhātir

    bhalā kyoñ

    sazā-vār samjhā gayā huuñ

    muddaton se

    KHamoshi ke be-ant warnon ki andhi gupha mein

    khaDa wo

    meri putliyon mein

    sawalon ka neza utare hue puchhta hai

    main teri tamanna mein apne liye

    dard ke ek siyah-ru samundar se

    tanhaiyon ke siyah sip laya

    sukh ke sare diye

    aur

    masarrat ki malaon ko toD kar

    dukh ka war main ne manga

    ki tu meri rakhsha ko aae

    magar mujh ko kyon

    in aziyyat ki kali salibon pe

    KHamoshiyon ki darinda-sifat kil se jaD diya hai

    mujhe kis liye

    kale shabdon ke be-nur kichaD mein

    phenka gaya hai

    siyah raat ka matami saz chheDe

    bujhi banjh nazron se wo puchhta hai

    main ek war ki KHatir

    bhala kyon

    saza-war samjha gaya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now