sawali
guzar rahe haiñ barābar tabāhiyoñ ke julūs
ye zindagī ke musāfir kahāñ chale jaa.eñ
ye ishtihār ġhamoñ ke alam kī tasvīreñ
ye zindagī hai nahīñ gard-e-zindagī bhī nahīñ
javāñ umīdeñ fazā.e-hayāt se māyūs
tanūr siine kā īñdhan haiñ vo tamannā.eñ
jalī hurūf meñ ye hādsoñ kī tahrīreñ
ki jin se dil ke añdhere meñ kuchh kamī bhī nahīñ
ye aadmī haiñ nahīñ bebasī kī taqrīreñ
bapā hai hashr magar aañkh dekhtī bhī nahīñ
guzar rahe the vo hastī ke mujrimān-e-azal
qadam baḌhā.e hue maiñ kahāñ chalā aayā
jinheñ bahisht kī rāhat bhī sāzgār na thī
sulagtī paanī meñ sūraj kī laash vo Duubī
vo zindagī ke musāfir vo ham-rahān-e-ajal
fazā meñ phail gayā tīrgī kā sarmāya
guzar ga.e ki unheñ maut nāgavār na thī
falak pe jaagī sitāroñ kī shān-e-mahbūbī
vo rahguzār mire dil kī rahguzār na thī
ubal paḌe mirī āñkhoñ se ġham ke aañsū bhī
sukūt-e-shab hai kamāl-e-sukūn hai paidā
ye chāhtā huuñ yūñhī be-sabab chalā jā.ūñ
sukūn-e-shab se ye dil meñ ḳhayāl aatā hai
vo zindagī hai kahāñ jis ko saath le jā.ūñ
vo zindagī hai kahāñ jis ko saath le jā.ūñ
guzar rahe hain barabar tabahiyon ke julus
ye zindagi ke musafir kahan chale jaen
ye ishtihaar ghamon ke alam ki taswiren
ye zindagi hai nahin gard-e-zindagi bhi nahin
jawan umiden fazae-hayat se mayus
tanur sine ka indhan hain wo tamannaen
jali huruf mein ye hadson ki tahriren
ki jin se dil ke andhere mein kuchh kami bhi nahin
ye aadmi hain nahin bebasi ki taqriren
bapa hai hashr magar aankh dekhti bhi nahin
guzar rahe the wo hasti ke mujriman-e-azal
qadam baDhae hue main kahan chala aaya
jinhen bahisht ki rahat bhi sazgar na thi
sulagti pani mein suraj ki lash wo Dubi
wo zindagi ke musafir wo ham-rahan-e-ajal
faza mein phail gaya tirgi ka sarmaya
guzar gae ki unhen maut nagawar na thi
falak pe jagi sitaron ki shan-e-mahbubi
wo rahguzar mere dil ki rahguzar na thi
ubal paDe meri aankhon se gham ke aansu bhi
sukut-e-shab hai kamal-e-sukun hai paida
ye chahta hun yunhi be-sabab chala jaun
sukun-e-shab se ye dil mein KHayal aata hai
wo zindagi hai kahan jis ko sath le jaun
wo zindagi hai kahan jis ko sath le jaun
- Book : sheerazah (Pg. 73)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.