sawalon ki zanjir
bol ai merī kitāb
terā chehra chūmtā huuñ
tere māthe ke sukūñ meñ DhūñDhtā huuñ aaj phir qismat kā naqsh
kholtā huuñ kāñpte hāthoñ se sahrāoñ kā darvāza purānā
jin kī ujlī ret meñ ugte hue motī
hazāroñ chāñd taare āftāb
muddatoñ se ek lamhe ke sukūñ meñ kho ga.e
Thahre hue haiñ
ek uñglī ke ishāre ke liye
maiñ magar is saañs kī zanjīr meñ huuñ
maut kī miTTī mirā ye jism maiñ is kī sazā
kaun se lafzoñ pe rakkhūñ haath
jis se sub.h kī tahrīr raushan ho mirī āñkheñ khuleñ
ḳhushbū mile mujh ko havā kī jo purāne ġhaar meñ paidā huī
kis tarah guzre ye mere dukh ke mausam kā azaab
bol ai merī kitāb
bol ai meri kitab
tera chehra chumta hun
tere mathe ke sukun mein DhunDhta hun aaj phir qismat ka naqsh
kholta hun kanpte hathon se sahraon ka darwaza purana
jin ki ujli ret mein ugte hue moti
hazaron chand tare aaftab
muddaton se ek lamhe ke sukun mein kho gae
Thahre hue hain
ek ungli ke ishaare ke liye
main magar is sans ki zanjir mein hun
maut ki miTTi mera ye jism main is ki saza
kaun se lafzon pe rakkhun hath
jis se subh ki tahrir raushan ho meri aankhen khulen
KHushbu mile mujh ko hawa ki jo purane ghaar mein paida hui
kis tarah guzre ye mere dukh ke mausam ka azab
bol ai meri kitab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.