sayyaron ki mahfil
Interesting Fact
Such an event is of extreme rarity when all the planets in the solar system come together in one constellation. March 10, 1992 was the date when, after 2160 years, all the planets of the solar system came together in one constellation. The planet Mars was in the middle with three planets Attar, Venus and Earth on one side and Jupiter, Saturn, Uranus and Neptune on the other side. Although Pluto was also present, scientists removed it from the solar system a few years later. Here is a part of what the planets talked about in this rare gathering.
zamīn
mirī nazroñ meñ ai mirrīḳh terā darja a.alā hai
bulandī par tū rahtā hai tirī qismat bhī baalā hai
mirrīḳh
bulandī aur pastī kā kabhī dhokā nahīñ khā.eñ
zamīñ uupar dikhā.ī de agar mirrīḳh par aa.eñ
zamīn
tujhe maanā hai devtā jañg kā nādān logoñ ne
tabāhī kā diyā ilzām tujh ko rome vāloñ ne
tujhe bhārat ke dānish-var sadā manhūs kahte haiñ
tujhe kahte rahe mañgal kabhī jallād kahte haiñ
batā ai surḳh sayyāre tire hālāt kaise haiñ
tire tālāb kaise haiñ tire bāġhāt kaise haiñ
tire pākīza dāman meñ manāzir kaise kaise haiñ
tirī āġhosh ke andar navādir kaise kaise haiñ
mirrīḳh
nahīñ mirrīḳh par jhīleñ na chashma hī ubaltā hai
samundar hai na dariyā hai na koī motī miltā hai
na bulbul ke tarāne haiñ na koī gul mahaktā hai
parinda bhī nahīñ koī ḳhushī se jo chahaktā hai
yahāñ jugnū nahīñ koī jo zulmat meñ chamaktā hai
na hiirā aur nīlam hai hamesha jo damaktā hai
havā kā koī jhoñkā hai na sabza lahlahātā hai
na battaḳhoñ kī qatāreñ haiñ na taa.ir chachahātā hai
nasīm-e-sub.h chaltī hai na bādal aur paanī hai
na gulshan hai yahāñ koī na maujoñ kī ravānī hai
mire qutbain ko dekho vahāñ yaḳh-basta paanī hai
yahī paanī yahāñ par zindagānī kī nishānī hai
zamīñ ke log kahte haiñ ki nahroñ kī ravānī hai
haqīqat meñ nahīñ aisā faqat jhūTī kahānī hai
yahāñ sūrat nazar aatī hai ābshāroñ kī
nazar aatī hai kasrat har taraf sañglāḳh ġhāroñ kī
yahāñ hai gahrā sannāTā ḳhamoshī kī hukūmat hai
fazā bhī ḳhushk hai merī nahīñ koī ratūbat hai
zamīn
sharīk-e-bazm ho mister atārid tum bhī kuchh bolo
zabāñ par lag gayā taalā to is mahfil meñ tum kholo
atārad
paḌosī huuñ maiñ sūraj kā namūna huuñ jahannum kā
yahāñ shiddat kī garmī hai to mumkin hī nahīñ jiinā
zamīn
mire nazdīk ho zohra bahut raḳhshanda sayyāra
yahāñ sab log kahte haiñ ki tum ho sub.h kā taara
zohra
munavvar merā chehra hai maiñ garmī kā maarā huuñ
zamīñ hai mujh ko pyārī maiñ zamīñ vāloñ kā pyārā huuñ
zamīn
azīmushshān jussa hai hamārī mantarī tum ho
jise zebā hai sardārī vo be-shak mushtarī tum ho
mushtarī
baḌā hai jism merā aur zīnat kuchh nahīñ mujh meñ
baḌā sā gol-gappā huuñ sabāhat kuchh nahīñ mujh meñ
zamīn
hamārī anjuman meñ ai zuhal tum hī nirāle ho
tumhāre gird halqa hai anokhī shakl vaale ho
zuhal
gale meñ tauq hai mere mirī sūrat nirālī hai
agar nazdīk se dekheñ to ye shai tez āñdhī hai
nazar aatā hai jo halqa vo haiñ chhoTe baḌe patthar
lagāte haiñ baḌī ta.adād meñ chāroñ taraf chakkar
zamīn
mire do bhaa.ī haiñ aage tumhārā haal kaisā hai
vahāñ hai kaifiyat kaisī vahāñ māhaul kaisā hai
uranus
yahāñ shiddat kī sardī hai lihāzā maiñ bhī ThanDā huuñ
zarā merī taraf dekho baḌā sā golā ganDā huuñ
neptune
mujhe neptune kahte haiñ usī kumbe kā huuñ member
bahut duurī hai sūraj se lagātā huuñ baḌā chakkar
mirrīḳh
maiñ pahuñchā is natīje par zamīñ par ḳhush-numā.ī hai
ḳhudā ne phuul aur paudoñ se ye duniyā sajā.ī hai
zamīñ par zindagī hai husn hai aur dilrubā.ī hai
mujhe ulfat zamīñ se hai vahī dil meñ samā.ī hai
vahāñ ābād haiñ insāñ vahāñ shān-e-ḳhudā.ī hai
hamārī kahkashāñ meñ aisī qismat kis ne paa.ī hai
zamin
meri nazron mein ai mirriKH tera darja aala hai
bulandi par tu rahta hai teri qismat bhi baala hai
mirriKH
bulandi aur pasti ka kabhi dhoka nahin khaen
zamin upar dikhai de agar mirriKH par aaen
zamin
tujhe mana hai dewta jang ka nadan logon ne
tabahi ka diya ilzam tujh ko rome walon ne
tujhe bhaarat ke danish-war sada manhus kahte hain
tujhe kahte rahe mangal kabhi jallad kahte hain
bata ai surKH sayyare tere haalat kaise hain
tere talab kaise hain tere baghat kaise hain
tere pakiza daman mein manazir kaise kaise hain
teri aaghosh ke andar nawadir kaise kaise hain
mirriKH
nahin mirriKH par jhilen na chashma hi ubalta hai
samundar hai na dariya hai na koi moti milta hai
na bulbul ke tarane hain na koi gul mahakta hai
parinda bhi nahin koi KHushi se jo chahakta hai
yahan jugnu nahin koi jo zulmat mein chamakta hai
na hira aur nilam hai hamesha jo damakta hai
hawa ka koi jhonka hai na sabza lahlahata hai
na battaKHon ki qataren hain na tair chachahata hai
nasim-e-subh chalti hai na baadal aur pani hai
na gulshan hai yahan koi na maujon ki rawani hai
mere qutbain ko dekho wahan yaKH-basta pani hai
yahi pani yahan par zindagani ki nishani hai
zamin ke log kahte hain ki nahron ki rawani hai
haqiqat mein nahin aisa faqat jhuTi kahani hai
yahan surat nazar aati hai aabshaaron ki
nazar aati hai kasrat har taraf sanglaKH ghaaron ki
yahan hai gahra sannaTa KHamoshi ki hukumat hai
faza bhi KHushk hai meri nahin koi ratubat hai
zamin
sharik-e-bazm ho mister atarid tum bhi kuchh bolo
zaban par lag gaya tala to is mahfil mein tum kholo
atarad
paDosi hun main suraj ka namuna hun jahannum ka
yahan shiddat ki garmi hai to mumkin hi nahin jina
zamin
mere nazdik ho zohra bahut raKHshanda sayyara
yahan sab log kahte hain ki tum ho subh ka tara
zohra
munawwar mera chehra hai main garmi ka mara hun
zamin hai mujh ko pyari main zamin walon ka pyara hun
zamin
azimushshan jussa hai hamari mantari tum ho
jise zeba hai sardari wo be-shak mushtari tum ho
mushtari
baDa hai jism mera aur zinat kuchh nahin mujh mein
baDa sa gol-gappa hun sabahat kuchh nahin mujh mein
zamin
hamari anjuman mein ai zuhal tum hi nirale ho
tumhaare gird halqa hai anokhi shakl wale ho
zuhal
gale mein tauq hai mere meri surat nirali hai
agar nazdik se dekhen to ye shai tez aandhi hai
nazar aata hai jo halqa wo hain chhoTe baDe patthar
lagate hain baDi tadad mein chaaron taraf chakkar
zamin
mere do bhai hain aage tumhaara haal kaisa hai
wahan hai kaifiyat kaisi wahan mahaul kaisa hai
uranus
yahan shiddat ki sardi hai lihaza main bhi ThanDa hun
zara meri taraf dekho baDa sa gola ganDa hun
neptune
mujhe neptune kahte hain usi kumbe ka hun member
bahut duri hai suraj se lagata hun baDa chakkar
mirriKH
main pahuncha is natije par zamin par KHush-numai hai
KHuda ne phul aur paudon se ye duniya sajai hai
zamin par zindagi hai husn hai aur dilrubai hai
mujhe ulfat zamin se hai wahi dil mein samai hai
wahan aabaad hain insan wahan shan-e-KHudai hai
hamari kahkashan mein aisi qismat kis ne pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.