sayyad se aaj hazrat-e-waiz ne ye kaha
sayyad se aaj hazrat-e-vā.iz ne ye kahā
charchā hai jā-ba-jā tire hāl-e-tabāh kā
samjhā hai tū ne nature o tadbīr ko ḳhudā
dil meñ zarā asar na rahā lā-ilāh kā
ho tujh se tark-e-saum-o-salāt-o-zakāt-o-haj
kuchh Dar nahīñ janāb-e-risālat-panāh kā
shaitān ne dikhā ke jamāl-e-urūs-e-dahr
banda banā diyā hai tujhe hubb-e-jāh kā
us ne diyā javāb ki maz.hab ho yā rivāj
rāhat meñ jo muḳhil ho vo kāñTā hai raah kā
afsos hai ki aap haiñ duniyā se be-ḳhabar
kyā jāniye jo rañg hai shām-o-pagāh kā
europe kā pesh aa.e agar aap ko safar
guzre nazar se haal re.āyā-o-shāh kā
vo āb-o-tāb-o-shaukat-e-aivān-e-khusravī
vo mahakmoñ kī shaan vo jalva sipāh kā
aa.e nazar ulūm-e-jadīdah kī raushnī
jis se ḳhajil ho nuur ruḳh-e-mehr-o-māh kā
dāvat kisī amiir ke ghar meñ ho aap kī
kam-sin misoñ se zikr ho ulfat kā chaah kā
nau-ḳhez dil-fareb gul-andām nāznīñ
aariz pe jin ke baar ho dāman nigāh kā
rukiye agar to hañs ke kahe ik but-e-hasīñ
sun maulvī ye baat nahīñ hai gunāh kā
us vaqt qibla jhuk ke karūñ aap ko salām
phir naam bhī huzūr jo leñ ḳhānqāh kā
patlūn-o-koT-o-bañgla-o-biscuit kī dhun bañdhe
saudā janāb ko bhī ho turkī kulāh kā
mimbar pe yuuñ to baiTh ke goshe meñ ai janāb
sab jānte haiñ va.az savāb-o-gunāh kā
sayyad se aaj hazrat-e-waiz ne ye kaha
charcha hai ja-ba-ja tere haal-e-tabah ka
samjha hai tu ne nature o tadbir ko KHuda
dil mein zara asar na raha la-ilah ka
ho tujh se tark-e-saum-o-salat-o-zakat-o-haj
kuchh Dar nahin janab-e-risalat-panah ka
shaitan ne dikha ke jamal-e-urus-e-dahr
banda bana diya hai tujhe hubb-e-jah ka
us ne diya jawab ki mazhab ho ya riwaj
rahat mein jo muKHil ho wo kanTa hai rah ka
afsos hai ki aap hain duniya se be-KHabar
kya jaaniye jo rang hai sham-o-pagah ka
europe ka pesh aae agar aap ko safar
guzre nazar se haal reaya-o-shah ka
wo aab-o-tab-o-shaukat-e-aiwan-e-khusrawi
wo mahakmon ki shan wo jalwa sipah ka
aae nazar ulum-e-jadidah ki raushni
jis se KHajil ho nur ruKH-e-mehr-o-mah ka
dawat kisi amir ke ghar mein ho aap ki
kam-sin mison se zikr ho ulfat ka chah ka
nau-KHez dil-fareb gul-andam naznin
aariz pe jin ke bar ho daman nigah ka
rukiye agar to hans ke kahe ek but-e-hasin
sun maulwi ye baat nahin hai gunah ka
us waqt qibla jhuk ke karun aap ko salam
phir nam bhi huzur jo len KHanqah ka
patlun-o-koT-o-bangla-o-biscuit ki dhun bandhe
sauda janab ko bhi ho turki kulah ka
mimbar pe yun to baiTh ke goshe mein ai janab
sab jaante hain waz sawab-o-gunah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.