saza
bhuul jaanā unheñ āsān hai ai dil
tū ne pahle bhī ka.ī baar qasam khaa.ī hai
dard jab had se baḌhā zabt kā yaarā na rahā
un kī ek ek adā yaad mujhe aa.ī hai
vo tabassum meñ nihāñ tanz ke mīThe nashtar
vo takallum meñ taġhāful ko chhupāne kī adā
ruk ke har lamha na.ī tarah se āġhāz-e-sitam
jaise kuchh kho ke kisī chiiz ko paane kī adā
merī ḳhāmoshī pe bebāk-nigāhī un kī
jazba-e-shauq ko kuchh aur baḌhāne kī adā
vo musalsal mirī bātoñ pe tavajjoh kī nazar
ruḳh pe machlī huī zulfoñ ko haTāne kī adā
mere ash.ār ko sunte hī vo āñkhoñ meñ ġhurūr
mujh ko har tarah se dīvāna banāne kī adā
be-ḳhudī dekh ke merī vahī begāna-ravī
paas aa aa ke bahut duur vo jaane kī adā
ruḳhsatī lamhoñ meñ hoñToñ pe duāoñ kā gumāñ
dar pe ruk kar mirī ḳhātir se vo jaane kī adā
aaj rah rah ke taḌaptā huuñ na.ī baat hai kyā
dil ne kyuuñ tark-e-mohabbat kī qasam khaa.ī hai
vo sitam laakh kareñ un kā to sheva hai yahī
ishq kī tark-e-mohabbat meñ bhī rusvā.ī hai
ab to jalte hue jiinā hī paḌegā ai dil
''tū ne ḳhud apne kiye kī ye sazā paa.ī hai''
bhul jaana unhen aasan hai ai dil
tu ne pahle bhi kai bar qasam khai hai
dard jab had se baDha zabt ka yara na raha
un ki ek ek ada yaad mujhe aai hai
wo tabassum mein nihan tanz ke miThe nashtar
wo takallum mein taghaful ko chhupane ki ada
ruk ke har lamha nai tarah se aaghaz-e-sitam
jaise kuchh kho ke kisi chiz ko pane ki ada
meri KHamoshi pe bebak-nigahi un ki
jazba-e-shauq ko kuchh aur baDhane ki ada
wo musalsal meri baaton pe tawajjoh ki nazar
ruKH pe machli hui zulfon ko haTane ki ada
mere ashaar ko sunte hi wo aankhon mein ghurur
mujh ko har tarah se diwana banane ki ada
be-KHudi dekh ke meri wahi begana-rawi
pas aa aa ke bahut dur wo jaane ki ada
ruKHsati lamhon mein honTon pe duaon ka guman
dar pe ruk kar meri KHatir se wo jaane ki ada
aaj rah rah ke taDapta hun nai baat hai kya
dil ne kyun tark-e-mohabbat ki qasam khai hai
wo sitam lakh karen un ka to shewa hai yahi
ishq ki tark-e-mohabbat mein bhi ruswai hai
ab to jalte hue jina hi paDega ai dil
tu ne KHud apne kiye ki ye saza pai hai
- Book : shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.