school
Interesting Fact
(Funuun, Lahore, June 1973)
ujlī dhuup hai
farsh-e-giyah par
ujlī dhuup meñ farsh-e-giyah par raushan aur daraḳhshāñ lamhoñ
kī shabnam hai
sabz daraḳhtoñ meñ ḳhandāñ chehroñ kī chāñdī hai
sonā hai
un lamhoñ se
un phūloñ se
sabz daraḳhtoñ ke pattoñ se
juz-dānoñ kī jebeñ bhar lo
kal jab sūraj ziist kī chhat par barf kī sūrat
jam jā.egā
kal jab rāteñ
raakh kī sūrat bujh jā.eñgī
is īñdhan ke sūkhe patte
ātish-dān ke kaam ā.eñge
ujli dhup hai
farsh-e-giyah par
ujli dhup mein farsh-e-giyah par raushan aur daraKHshan lamhon
ki shabnam hai
sabz daraKHton mein KHandan chehron ki chandi hai
sona hai
un lamhon se
un phulon se
sabz daraKHton ke patton se
juz-danon ki jeben bhar lo
kal jab suraj zist ki chhat par barf ki surat
jam jaega
kal jab raaten
rakh ki surat bujh jaengi
is indhan ke sukhe patte
aatish-dan ke kaam aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.