selfi
hijr ke be-sadā jazīre par
kunj-e-tanhā.ī meñ koī laḌkī
ḳhāl-o-ḳhad par lagā ke aas kā rañg
chashm-o-lab par sajā ke dil kī umañg
āñkhoñ āñkhoñ meñ muskurātī hai
shaam kī surma.ī udāsī meñ
apnī tasvīr ḳhud banātī hai
adh-khule hoñT nīm-vā āñkheñ
be-navā hoñT be-sadā āñkheñ
aisī ḳhāmoshī aisī tanhā.ī
ḳhud tamāshā hai ḳhud tamāshā.ī
ḳhud hī tasvīr ḳhud musavvir hai
ḳhud ġhazal aur ḳhud hī shā.er hai
sochtī hai ki jis ke hijr meñ maiñ
sham.a sī sub.h-o-shām jaltī huuñ
mom sī raat din pighaltī huuñ
kaash vo merī raushnī dekhe
merī āñkhoñ kī an-kahī samjhe
mere tan-man kī bebasī dekhe
jitnī shiddat se ḳhud ko dekhtī huuñ
kaash vo bhī mujhe kabhī dekhe
hijr ke be-sada jazire par
kunj-e-tanhai mein koi laDki
KHal-o-KHad par laga ke aas ka rang
chashm-o-lab par saja ke dil ki umang
aankhon aankhon mein muskuraati hai
sham ki surmai udasi mein
apni taswir KHud banati hai
adh-khule honT nim-wa aankhen
be-nawa honT be-sada aankhen
aisi KHamoshi aisi tanhai
KHud tamasha hai KHud tamashai
KHud hi taswir KHud musawwir hai
KHud ghazal aur KHud hi shaer hai
sochti hai ki jis ke hijr mein main
shama si subh-o-sham jalti hun
mom si raat din pighalti hun
kash wo meri raushni dekhe
meri aankhon ki an-kahi samjhe
mere tan-man ki bebasi dekhe
jitni shiddat se KHud ko dekhti hun
kash wo bhi mujhe kabhi dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.