selfi
narcissus ke pahlū meñ baiThe hue
aks apnā hī tālāb meñ dekh kar
kitnī sadiyoñ se apnī hī ulfat meñ gum
ḳhud-pasandī ke maare hue log the
ḳhud-numā.ī ke zer-e-asar aa ga.e
ā.īne kā fusūñ is qadar baḌh gayā
ḳhud ko tasvīr karne kī ḳhvāhish uThī
apne hāthoñ meñ apnī hī āñkheñ liye
muḳhtalif zāviyoñ se nazar ḳhud pe kī
be-yaqīñ ho ga.e
ḳhud-farebī meñ mad.hosh hote hue
iztirāb nazaryoñ maraz ban gayā
ik vabā kī tarah phailtā hī gayā
nafsiyātī girah jab ulajhne lagī
apnī tash.hīr kā sar meñ saudā liye
aap apnā tamāsha lagāyā gayā
aur dikhāve ke be-sūd qirtās par
naqsh-dar-naqsh ḳhud ko miTāyā gayā
ruup bahrūp sūrat meñ laayā gayā
ḳhāl-o-ḳhad gum hue
shaḳhsiyat ke sabhī rañg uḌte ga.e
aur be-chehragī aks hone lagī
narcissus ke pahlu mein baiThe hue
aks apna hi talab mein dekh kar
kitni sadiyon se apni hi ulfat mein gum
KHud-pasandi ke mare hue log the
KHud-numai ke zer-e-asar aa gae
aaine ka fusun is qadar baDh gaya
KHud ko taswir karne ki KHwahish uThi
apne hathon mein apni hi aankhen liye
muKHtalif zawiyon se nazar KHud pe ki
be-yaqin ho gae
KHud-farebi mein madhosh hote hue
iztirab nazaryon maraz ban gaya
ek waba ki tarah phailta hi gaya
nafsiyati girah jab ulajhne lagi
apni tashhir ka sar mein sauda liye
aap apna tamasha lagaya gaya
aur dikhawe ke be-sud qirtas par
naqsh-dar-naqsh KHud ko miTaya gaya
rup bahrup surat mein laya gaya
KHal-o-KHad gum hue
shaKHsiyat ke sabhi rang uDte gae
aur be-chehragi aks hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.