september1965
kisī qasā.ī ne
ik haDDī chhīl kar pheñkī
galī ke moḌ se
do kutte bhūñkte uTThe
kisī ne paañv uThā.e
kisī ne dum paTkī
bahut se kutte khaḌe ho kar shor karne lage
na jaane kyuuñ mirā jī chāhā
apne sab kapḌe
utaar kar kisī chaurāhe par khaḌā ho jā.ūñ
har ek chiiz pe jhapTūñ
ghaḌī ghaḌī chillā.ūñ
niDhāl ho ke jahāñ chāhūñ
jism phailā duuñ
hazāroñ saal kī sachchā.iyoñ ko
jhuTlā duuñ
kisi qasai ne
ek haDDi chhil kar phenki
gali ke moD se
do kutte bhunkte uTThe
kisi ne panw uThae
kisi ne dum paTki
bahut se kutte khaDe ho kar shor karne lage
na jaane kyun mera ji chaha
apne sab kapDe
utar kar kisi chaurahe par khaDa ho jaun
har ek chiz pe jhapTun
ghaDi ghaDi chillaun
niDhaal ho ke jahan chahun
jism phaila dun
hazaron sal ki sachchaiyon ko
jhuTla dun
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.