shaer-e-darmanda
zindagī tere liye bistar-e-sanjāb-o-samūr
aur mere liye afrañg kī daryūza-garī
āfiyat-koshī-e-ābā ke tufail
maiñ huuñ darmāñda-o-be-chāra adiib
ḳhasta-e-fikr-e-ma.āsh
pāra-e-nān-javīñ ke liye mohtāj haiñ ham
maiñ mire dost mire saikaḌoñ arbāb-e-vatan
ya.anī afrañg ke gulzāroñ ke phuul
tujhe ik shā.er-e-darmāñda kī ummīd na thī
mujh se jis roz sitāra tirā vābasta huā
tū samajhtī thī ki ik roz mirā zehn-e-rasā
aur mire ilm-o-hunar
bahr o bar se tirī zīnat ke guhar lā.eñge
mere raste meñ jo haa.il hoñ mire tīra-nasīb
kyuuñ duā.eñ tarī be-kār na jaa.eñ
tere rātoñ ke sujūd aur niyāz
(us kā baa.is mirā ilhād bhī hai)
ai mirī sham-e-shabistān-e-vafā
bhuul jā mere liye
zindagī ḳhvāb kī āsūda farāmoshī hai
tujhe ma.alūm hai mashriq kā ḳhudā koī nahīñ
aur agar hai to sarā-parda-e-nisyāñ meñ hai
tū ''masarrat'' hai mirī tū mirī ''bedārī'' hai
mujhe āġhosh meñ le
do ''anā'' mil ke jahāñ-soz baneñ
aur jis ahd kī hai tujh ko duāoñ meñ talāsh
aap hī aap huvaidā ho jaa.e
zindagi tere liye bistar-e-sanjab-o-samur
aur mere liye afrang ki daryuza-gari
aafiyat-koshi-e-aba ke tufail
main hun darmanda-o-be-chaara adib
KHasta-e-fikr-e-maash
para-e-nan-jawin ke liye mohtaj hain hum
main mere dost mere saikaDon arbab-e-watan
yani afrang ke gulzaron ke phul
tujhe ek shaer-e-darmanda ki ummid na thi
mujh se jis roz sitara tera wabasta hua
tu samajhti thi ki ek roz mera zehn-e-rasa
aur mere ilm-o-hunar
bahr o bar se teri zinat ke guhar laenge
mere raste mein jo hail hon mere tira-nasib
kyun duaen tari be-kar na jaen
tere raaton ke sujud aur niyaz
(us ka bais mera ilhad bhi hai)
ai meri sham-e-shabistan-e-wafa
bhul ja mere liye
zindagi KHwab ki aasuda faramoshi hai
tujhe malum hai mashriq ka KHuda koi nahin
aur agar hai to sara-parda-e-nisyan mein hai
tu masarrat hai meri tu meri bedari hai
mujhe aaghosh mein le
do ana mil ke jahan-soz banen
aur jis ahd ki hai tujh ko duaon mein talash
aap hi aap huwaida ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.