shaer ki tamanna
agar is gulshan-e-hastī meñ honā hī muqaddar thā
to maiñ ġhunchoñ kī muTThī meñ dil-e-bulbul huā hotā
gunāhoñ meñ zarar hotā, duāoñ meñ asar hotā
mohabbat kī nazar hotā, hasīnoñ kī adā hotā
faroġh-e-chehra-e-mehnat, ġhubār-e-dāman-e-daulat
nam-e-peshānī-e-ġhairat, ḳham-e-zulf-e-rasā hotā
huā hotā kisī dastār-e-kaj par phuul kī tarah
aur us dastār-e-kaj kī tamkanat par hañs rahā hotā
kisī maġhrūr kī gardan pe hotā bojh ehsāñ kā
kisī zālim ke dil meñ dard ho kar lā-davā hotā
kisī mun.im ke chehre par ḳhushī hājat-ravā.ī kī
kisī nādār kī nazroñ meñ sharm-e-iltijā hotā
kisī bhaTke hue raahī ko detā dāvat-e-manzil
bayābāñ kī añdherī shab meñ jogī kā diyā hotā
kisī ke kalba-e-ahzāñ meñ sham-e-muzmahil ban kar
kisī bīmār muflis ke sirhāne ro rahā hotā
sharar ban kar kisī nādār ghar ke sard chūlhe meñ
''ba-sad ummīd-e-fardā'' zer-e-ḳhākistar dabā hotā
yatīm-e-be-navā kī rah-guzar par ashrafī ban kar
la.īm-e-fāqa-kash kī jeb-e-mumsik se girā hotā
niystāñ se nikal kar hasrat-ābād-e-tamaddun meñ
gadā-e-pīr o nā-bīnā ke hāthoñ kā asā hotā
shikasta jhoñpaḌe meñ bāñsurī-e-dahqāñ kī sur ban kar
sukūt-e-nīm-shab meñ rāz-e-hastī kah rahā hotā
ġharaz is hasrat-o-andoh-o-yās-o-ġham kī bastī meñ
kahīñ daur-āfrīñ hotā, kahīñ dard-āshnā hotā
''Duboyā mujh ko hone ne'' ba-qaul-e-ġhālib-e-dānā
''na thā kuchh to ḳhudā thaa, kuchh na hotā to ḳhudā hotā''
agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha
to main ghunchon ki muTThi mein dil-e-bulbul hua hota
gunahon mein zarar hota, duaon mein asar hota
mohabbat ki nazar hota, hasinon ki ada hota
farogh-e-chehra-e-mehnat, ghubar-e-daman-e-daulat
nam-e-peshani-e-ghairat, KHam-e-zulf-e-rasa hota
hua hota kisi dastar-e-kaj par phul ki tarah
aur us dastar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota
kisi maghrur ki gardan pe hota bojh ehsan ka
kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dawa hota
kisi munim ke chehre par KHushi hajat-rawai ki
kisi nadar ki nazron mein sharm-e-iltija hota
kisi bhaTke hue rahi ko deta dawat-e-manzil
bayaban ki andheri shab mein jogi ka diya hota
kisi ke kalba-e-ahzan mein sham-e-muzmahil ban kar
kisi bimar muflis ke sirhane ro raha hota
sharar ban kar kisi nadar ghar ke sard chulhe mein
ba-sad ummid-e-farda zer-e-KHakistar daba hota
yatim-e-be-nawa ki rah-guzar par ashrafi ban kar
laim-e-faqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota
niystan se nikal kar hasrat-abaad-e-tamaddun mein
gada-e-pir o na-bina ke hathon ka asa hota
shikasta jhonpaDe mein bansuri-e-dahqan ki sur ban kar
sukut-e-nim-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota
gharaz is hasrat-o-andoh-o-yas-o-gham ki basti mein
kahin daur-afrin hota, kahin dard-ashna hota
Duboya mujh ko hone ne ba-qaul-e-ghaalib-e-dana
na tha kuchh to KHuda tha, kuchh na hota to KHuda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.