shaer
kuchh qaus-e-quzah se rañgat lī kuchh nuur churāyā tāroñ se
bijlī se taḌap ko maañg liyā kuchh kaif uḌāyā bahāroñ se
phūloñ se mahak shāḳhoñ se lachak aur mañDvoñ se ThanDā saaya
jañgal kī kuñvārī kaliyoñ ne de Daalā apnā sarmāya
bad-mast javānī se chhīnī kuchh be-fikrī kuchh allaḌhpan
phir husn-e-junūñ-parvar ne dī āshufta-sarī dil kī dhaḌkan
bikhrī huī rañgīñ kirnoñ ko āñkhoñ se chun kar laatā huuñ
fitrat ke pareshāñ naġhmoñ se ik apnā giit banātā huuñ
firdaus-e-ḳhayālī meñ baiThā ik but ko tarāshā kartā huuñ
phir apne dil kī dhaḌkan ko patthar ke dil meñ bhartā huuñ
kuchh qaus-e-quzah se rangat li kuchh nur churaya taron se
bijli se taDap ko mang liya kuchh kaif uDaya bahaaron se
phulon se mahak shaKHon se lachak aur manDwon se ThanDa saya
jangal ki kunwari kaliyon ne de Dala apna sarmaya
bad-mast jawani se chhini kuchh be-fikri kuchh allaDhpan
phir husn-e-junun-parwar ne di aashufta-sari dil ki dhaDkan
bikhri hui rangin kirnon ko aankhon se chun kar lata hun
fitrat ke pareshan naghmon se ek apna git banata hun
firdaus-e-KHayali mein baiTha ek but ko tarasha karta hun
phir apne dil ki dhaDkan ko patthar ke dil mein bharta hun
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 111)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.