shaeron ka jabr
chaa.e kī bhaap meñ
ghulte, ma.adūm hote hue qahqahe shaam kā bāñkpan
koī misra.a dhueñ ke bagūloñ meñ compos hotā huā
koī nukta jo asrār ke ghup añdhere se sho.ala-sifat sar uThā.e
ajab dhīmā dhīmā nasha iḳhtilāfāt kā
apne nichle suroñ meñ koī fikr marbūt kartā huā zāviya
tanz ke nāvak-e-ḳhush-salīqa kī san-san
havāoñ se mahfūz sāñsoñ meñ ārāsta muḳhtalif sigreToñ kī mahak
shaam ke surma.ī bāñkpan meñ kisī coat, muflar, sweater se uThtī huī
ḳhushbu-e-āshnā
joḌtī hai hameñ ik samay se jo muddat se
ik nā-mulā.em zamāne meñ mahkūm hai
kaun lahze ko vāpas bulā.e
samay ko mukammal kare
apnī nazmeñ usī ik tasalsul-zada dā.ere meñ haiñ
purkār jin kī rihā.ī pe maa.il nahīñ
resturānoñ ke konoñ meñ sahmī huī
kitnī shāmoñ kā jaadū yahāñ satr-dar-satr mahbūs hai
ham jo qaid-e-zamāñ-o-makāñ se nikalne ko par mārte haiñ
bhalā shaam Dhalne pe alfāz ke panchhiyoñ ko jakaḌte haiñ kyuuñ
dām-e-tasvīr meñ
ye bagūle, dhuāñ, bhaap asīrī ke aadī nahīñ
shaam ḳhud raat kī god meñ jā ke girne ko be-tāb hai
chae ki bhap mein
ghulte, madum hote hue qahqahe sham ka bankpan
koi misra dhuen ke bagulon mein compos hota hua
koi nukta jo asrar ke ghup andhere se shoala-sifat sar uThae
ajab dhima dhima nasha iKHtilafat ka
apne nichle suron mein koi fikr marbut karta hua zawiya
tanz ke nawak-e-KHush-saliqa ki san-san
hawaon se mahfuz sanson mein aarasta muKHtalif sigreTon ki mahak
sham ke surmai bankpan mein kisi coat, muflar, sweater se uThti hui
KHushbu-e-ashna
joDti hai hamein ek samay se jo muddat se
ek na-mulaem zamane mein mahkum hai
kaun lahze ko wapas bulae
samay ko mukammal kare
apni nazmen usi ek tasalsul-zada daere mein hain
purkar jin ki rihai pe mail nahin
resturanon ke konon mein sahmi hui
kitni shamon ka jadu yahan satr-dar-satr mahbus hai
hum jo qaid-e-zaman-o-makan se nikalne ko par marte hain
bhala sham Dhalne pe alfaz ke panchhiyon ko jakaDte hain kyun
dam-e-taswir mein
ye bagule, dhuan, bhap asiri ke aadi nahin
sham KHud raat ki god mein ja ke girne ko be-tab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.