shah-rah
ek afsurda shāh-rāh hai darāz
duur ufuq par nazar jamā.e hue
sard miTTī pe apne siine ke
surmagīñ husn ko bichhā.e hue
jis tarah koī ġham-zada aurat
apne vīrāñ-kade meñ mahv-e-ḳhayāl
vasl-e-mahbūb ke tasavvur meñ
mū-ba-mū chuur uzv uzv niDhāl
ek afsurda shah-rah hai daraaz
dur ufuq par nazar jamae hue
sard miTTi pe apne sine ke
surmagin husn ko bichhae hue
jis tarah koi gham-zada aurat
apne viran-kade mein mahw-e-KHayal
wasl-e-mahbub ke tasawwur mein
mu-ba-mu chur uzw uzw niDhaal
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 94)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.