shah sahab and sons
shaah sāhab ḳhush-nazar the
ḳhush-adā the
aur rozī ke añdhere rāstoñ par
sabr kī TuuTī huī chappal pahan kar
ik lalak ik tantane ke saath sargarm-e-safar the
aur jiine ke maraz meñ mubtalā the
jo ġhizā.eñ dastaras meñ thiiñ
ajab be-nūr thiiñ
un meñ numū-kārī na thī
vo jo motī kī sī aab āñkhoñ meñ thī
jaatī rahī
putliyoñ meñ ḳhuun
kaa.ī kī tarah jamne lagā
rafta rafta
motiyābind un ke dīdoñ par
zamurrad kī tarah utrā
ajab pardā paḌā
saare zamāne se hijāb aane lagā
muztarib āñkhoñ ke Dhele
ḳhushk pathrā.e hue
itne be-masraf ki bas
ik sabza darvāze ke pīchhe
band siipī kī tarah se
aur añdhere ā.īna dikhlā.eñ istinjā kareñ
sirf dushman raushnī kā intizār-e-zindagānī ġhazva-e-ḳhandaq huī
is qadar dekhā ki nā-bīnā hue
aur jab ravāq nigāhoñ meñ
siyāhī kī silā.ī phir ga.ī
chhitnār āñkhoñ se
tajallī kī sunahrī patiyāñ girne lagīñ
to shaah sāhab aur be-sāya hue
un kī andhī muntaqim āñkhoñ meñ duniyā
ek qātil kī tarah se jam ga.ī
jaise marte saañp kī āñkhoñ meñ
apne ajnabī dushman kā aks
yuuñ sarāsīma hue
yuuñ zaat ke sunsān sahrāoñ meñ afsurda phire
jaise jiite jāgte logoñ ko dekhā hī na ho
jo shabīheñ dhyān meñ mahfūz thiiñ
in se rishta hī na ho
jagmagātī be-qarār āñkheñ
kisī sahme hue ghoñghe ke hāthoñ kī tarah
dekhtī thiiñ sūñghtī thiiñ lams kartī thiiñ
vahī jaatī rahīñ to zindagī se rābta jaatā rahā
hamdamī kā silsila jaatā rahā
vo jo ik gahrā ta.alluq
ik amar sambañdh sā
chāroñ-taraf bikhrī huī chīzoñ se thā
hañste hue rote hue logoñ se thā
is tarah TuuTā ki jaise sher kī ik jast se
zubair kī riiḌh kī haDDī chīḳh jaatī hai
barsoñ be-tarah be-kal rahe
ek din āñkhoñ meñ sahrā jal uThā
vo ḳhayāl aayā ki chehra jal uThā
apne beToñ ko kaleje se lagāyā
jī bharā thā abr ke mānind ro.e
rah chuke to ek mohlik ātishīñ tezāb ke
sho.ala-e-saffāk se
un kī fāqa-sanj āñkhoñ ko jalāyā
aur sajde meñ gire
jaise gahrī niiñd meñ hoñ
jaise ik sakte meñ hoñ
muddatoñ se un bayābāñ rāstoñ par
chaar andhe dostoñ kā ek koras gūñjtā hai
ai sakhī shahr-e-saḳhāvat meñ guzār auqāt kar
ai nazr vaale nazr ḳhairāt kar
shah sahab KHush-nazar the
KHush-ada the
aur rozi ke andhere raston par
sabr ki TuTi hui chappal pahan kar
ek lalak ek tantane ke sath sargarm-e-safar the
aur jine ke maraz mein mubtala the
jo ghizaen dastaras mein thin
ajab be-nur thin
un mein numu-kari na thi
wo jo moti ki si aab aankhon mein thi
jati rahi
putliyon mein KHun
kai ki tarah jamne laga
rafta rafta
motiyabind un ke didon par
zamurrad ki tarah utra
ajab parda paDa
sare zamane se hijab aane laga
muztarib aankhon ke Dhele
KHushk pathrae hue
itne be-masraf ki bas
ek sabza darwaze ke pichhe
band sipi ki tarah se
aur andhere aaina dikhlaen istinja karen
sirf dushman raushni ka intizar-e-zindagani ghazwa-e-KHandaq hui
is qadar dekha ki na-bina hue
aur jab rawaq nigahon mein
siyahi ki silai phir gai
chhitnar aankhon se
tajalli ki sunahri patiyan girne lagin
to shah sahab aur be-saya hue
un ki andhi muntaqim aankhon mein duniya
ek qatil ki tarah se jam gai
jaise marte sanp ki aankhon mein
apne ajnabi dushman ka aks
yun sarasima hue
yun zat ke sunsan sahraon mein afsurda phire
jaise jite jagte logon ko dekha hi na ho
jo shabihen dhyan mein mahfuz thin
in se rishta hi na ho
jagmagati be-qarar aankhen
kisi sahme hue ghonghe ke hathon ki tarah
dekhti thin sunghti thin lams karti thin
wahi jati rahin to zindagi se rabta jata raha
hamdami ka silsila jata raha
wo jo ek gahra talluq
ek amar sambandh sa
chaaron-taraf bikhri hui chizon se tha
hanste hue rote hue logon se tha
is tarah TuTa ki jaise sher ki ek jast se
zubair ki riDh ki haDDi chiKH jati hai
barson be-tarah be-kal rahe
ek din aankhon mein sahra jal uTha
wo KHayal aaya ki chehra jal uTha
apne beTon ko kaleje se lagaya
ji bhara tha abr ke manind roe
rah chuke to ek mohlik aatishin tezab ke
shoala-e-saffak se
un ki faqa-sanj aankhon ko jalaya
aur sajde mein gire
jaise gahri nind mein hon
jaise ek sakte mein hon
muddaton se un bayaban raston par
chaar andhe doston ka ek koras gunjta hai
ai sakhi shahr-e-saKHawat mein guzar auqat kar
ai nazr wale nazr KHairaat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.