shahi badla
kase hue ektāre par haiñ geñde ke do phuul
mehñdī lage hāthoñ par hiire motī jaḌe do naqsh
bāñsurī ke hoñToñ se nikle āThvīñ sur kā giit
shaam amaltāsoñ kī sunā.e taaza taaza nazm
ā.īne meñ gorī ke umrāo-jān sā ruup
āñkhoñ meñ be-tāb tamannā dhaḌkan hai be-rabt
duur samay ke paar se aane vaalā hai shahzāda
gard uḌātī rath se utrā āḳhir ek javān
achkan par hai sajā huā surḳhāb kā niilā par
paan supārī chūnā katthā resham resham jism
Dhol kī thaap pe raqsāñ ghuñgrū aur gorī kā dil
mahal-sarā kī dīvāroñ par hai pyaas kā mīThā rañg
jism se niklā niklā jaa.e gorī kā har añg
shahzāde kī sāñsoñ meñ sandal ke araq kī baas
rath-bānoñ kī ragoñ meñ an jaane lamhoñ kā kaif
jism aur jaam kī ra.anā.ī meñ haar kā dard-e-fanā
shahzāde ke siine par haiñ raqqāsa ke ashk
īrānī qālīn par raqsāñ raqqāsa kā ḳhuun
darvāze ke bāhar laTkā jañg meñ haar kā daaġh
shahzāde ke hoñToñ par hai fāteh kī muskān
kase hue ektare par hain gende ke do phul
mehndi lage hathon par hire moti jaDe do naqsh
bansuri ke honTon se nikle aaThwin sur ka git
sham amaltason ki sunae taza taza nazm
aaine mein gori ke umrao-jaan sa rup
aankhon mein be-tab tamanna dhaDkan hai be-rabt
dur samay ke par se aane wala hai shahzada
gard uDati rath se utra aaKHir ek jawan
achkan par hai saja hua surKHab ka nila par
pan supari chuna kattha resham resham jism
Dhol ki thap pe raqsan ghungru aur gori ka dil
mahal-sara ki diwaron par hai pyas ka miTha rang
jism se nikla nikla jae gori ka har ang
shahzade ki sanson mein sandal ke araq ki bas
rath-banon ki ragon mein an jaane lamhon ka kaif
jism aur jam ki ranai mein haar ka dard-e-fana
shahzade ke sine par hain raqqasa ke ashk
irani qalin par raqsan raqqasa ka KHun
darwaze ke bahar laTka jang mein haar ka dagh
shahzade ke honTon par hai fateh ki muskan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.