ai dost mire paas nahīñ la.al-o-javāhar
tū dekh ki kis darja hai saada mirī poshāk
lekin mujhe qudrat ne atā kī hai faqīrī
is baat kā shāhid hai mirā dāman-e-sad-chāk
har-chand ki kam-māya huuñ duniyā kī nazar meñ
iqlīm-e-suḳhan meñ hai mirī baiThī huī dhaak
har rañg-e-zamāna se huuñ is umr meñ vāqif
raftār-e-zamāna hai mirī basta-e-fitrāk
duniyā ko samajhtā huuñ maiñ bāzīcha-e-atfāl
jhukte haiñ mirī izzat-o-tāzīm ko aflāk
haiñ shams-o-qamar mere hī farmān ke taabe
haavī hai zamāne pe mirī fitrat-e-bebāk
lā-raib maiñ sultān huuñ qismat ke jahāñ kā
har-chand ki qismat kā fasāna hai alamnāk
bijlī kī harārat hai mirī mauj-e-nafas meñ
maiñ phūñk ke ik lamhe meñ rakh duuñ ḳhas-o-ḳhāshāk
bartāv zamāne kā mire saath burā hai
mat pūchh ki kyuuñ aañkh mirī rahtī hai namnāk
maiñ chāhūñ to taqdīr-e-zamāna ko badal duuñ
chāhūñ to badal saktā huuñ maiñ qismat-e-laulāk
ai dost mere pas nahin lal-o-jawahar
tu dekh ki kis darja hai sada meri poshak
lekin mujhe qudrat ne ata ki hai faqiri
is baat ka shahid hai mera daman-e-sad-chaak
har-chand ki kam-maya hun duniya ki nazar mein
iqlim-e-suKHan mein hai meri baiThi hui dhak
har rang-e-zamana se hun is umr mein waqif
raftar-e-zamana hai meri basta-e-fitrak
duniya ko samajhta hun main bazicha-e-atfal
jhukte hain meri izzat-o-tazim ko aflak
hain shams-o-qamar mere hi farman ke tabe
hawi hai zamane pe meri fitrat-e-bebak
la-raib main sultan hun qismat ke jahan ka
har-chand ki qismat ka fasana hai alamnak
bijli ki hararat hai meri mauj-e-nafas mein
main phunk ke ek lamhe mein rakh dun KHas-o-KHashak
bartaw zamane ka mere sath bura hai
mat puchh ki kyun aankh meri rahti hai namnak
main chahun to taqdir-e-zamana ko badal dun
chahun to badal sakta hun main qismat-e-laulak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.