shair ki duniya
hotā huuñ jab maiñ tanhā ye sochtā huuñ aksar
ābādiyāñ haiñ achchhī yā jañgaloñ ke manzar
shā.ir huuñ maiñ mirā ho maskan alag jahāñ se
shahroñ ke shor-o-ġhul se tārīk āsmāñ se
saa.e meñ peḌ ke maiñ bistar lagā.ūñ apnā
ThanDī havā ho aatī bahtā ho saaf dariyā
rañgīniyāñ shafaq kī dil ko mire lubhā.eñ
shams-o-qamar jahāñ ke qisse na.e sunā.eñ
qudrat kā ham-zabāñ huuñ aur us ke bhed pā.ūñ
gahrā.iyoñ meñ us kī goyā utar maiñ jā.ūñ
2
par aql kā hai kahnā ye sab ġhalat hai nādāñ
gūñgī hai terī qudrat manzar haiñ us ke be-jāñ
be-kār hai agar to dasht-o-jabal basā.e
be-sarfa hai agar to hamdam unheñ banā.e
shā.ir tujhe haiñ kahte hai ishq terā jiinā
fitrat hai paak terī hai qalb-e-tūr-e-sīnā
tū nūr-e-sarmadī kī hai jhalkiyāñ dikhātā
insāñ ko āsmāñ kī saireñ hai to karātā
terā qalam jahāñ meñ halchal sī Dāltā hai
Duube ubhārtā hai girte sambhāltā hai
3
par kyuuñ tujhe ai shā.ir bastī se hai kudūrat
ābādiyoñ meñ pal kar ābādiyoñ se nafrat
insāñ aur us kī fitrat parkhī nahīñ hai tū ne
aalam aur us kī vus.at paa.ī nahīñ hai tū ne
mātam kahīñ bapā hai ḳhushiyāñ kahīñ haiñ hotī
iqbāl hai kahīñ to qismat kahīñ hai sotī
jo ik taraf qazā ke tūfān aa rahe haiñ
tū ik taraf sahāb-e-rahmat bhī chhā rahe haiñ
terā hai rutba aalī is bazm-e-zindagī meñ
aa aa sharīk ho jā is razm-e-zindagī meñ
ālām ko ghaTā de āsā.isheñ baḌhā de
sham-e-suḳhan jalā kar sab zulmateñ haTā de
aa kab se muntazir hai aadam kā ye gharānā
ābād is meñ ho jā terī yahī hai duniyā
hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar
aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar
shair hun main mera ho maskan alag jahan se
shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se
sae mein peD ke main bistar lagaun apna
ThanDi hawa ho aati bahta ho saf dariya
ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen
shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen
qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun
gahraiyon mein us ki goya utar main jaun
2
par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan
gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan
be-kar hai agar to dasht-o-jabal basae
be-sarfa hai agar to hamdam unhen banae
shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina
fitrat hai pak teri hai qalb-e-tur-e-sina
tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata
insan ko aasman ki sairen hai to karaata
tera qalam jahan mein halchal si Dalta hai
Dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai
3
par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat
aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat
insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne
aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne
matam kahin bapa hai KHushiyan kahin hain hoti
iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti
jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain
tu ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain
tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein
aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein
aalam ko ghaTa de aasaishen baDha de
sham-e-suKHan jala kar sab zulmaten haTa de
aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana
aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.