shair ki duniya
merī duniyā hasīn duniyā hai
jis meñ sūraj hai chāñd taare haiñ
roz-o-shab husn ke nazāre haiñ
shab kī mahfil sajī hai tāroñ se
jī bahaltā hai māh-pāroñ se
raat ko taare jagmagāte haiñ
ḳhud-baḳhud giit yaad aate haiñ
kirneñ letī haiñ ruup pariyoñ kā
chāñd rāteñ haiñ raqs ke dariyā
haiñ shuāoñ meñ bijliyāñ raqsāñ
umaD aa.e haiñ nuur ke tūfāñ
lāla-zāroñ meñ phuul nikhre haiñ
ābshāroñ meñ giit bikhre haiñ
maujeñ añgḌā.ī le ke chaltī haiñ
lahreñ bahte hue machaltī haiñ
har taraf bikhre bikhre gesū haiñ
aur āñkhoñ meñ prem jaadū haiñ
muskurāhaT meñ bijliyāñ pinhāñ
dil kī barbādiyoñ ke haiñ sāmāñ
har taraf husn hai javānī hai
kāmrānī hai shādmānī hai
merī duniyā hasīn duniyā hai
meri duniya hasin duniya hai
jis mein suraj hai chand tare hain
roz-o-shab husn ke nazare hain
shab ki mahfil saji hai taron se
ji bahalta hai mah-paron se
raat ko tare jagmagate hain
KHud-baKHud git yaad aate hain
kirnen leti hain rup pariyon ka
chand raaten hain raqs ke dariya
hain shuaon mein bijliyan raqsan
umaD aae hain nur ke tufan
lala-zaron mein phul nikhre hain
aabshaaron mein git bikhre hain
maujen angDai le ke chalti hain
lahren bahte hue machalti hain
har taraf bikhre bikhre gesu hain
aur aankhon mein prem jadu hain
muskurahaT mein bijliyan pinhan
dil ki barbaadiyon ke hain saman
har taraf husn hai jawani hai
kaamrani hai shadmani hai
meri duniya hasin duniya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.