shair ki tamannaen
Interesting Fact
1930
umañgeñ dil se uTh uTh kar taḳhayyul meñ sañvartī haiñ
mire zulmat-kada meñ arsh se hūreñ utartī haiñ
vo merī hasrateñ vo ārzūeñ vo tamannā.eñ
jo bar aa.iiñ to duniyā ke jahannum sard ho jaa.eñ
yaqīñ hotā hai dil ko jāda-e-haq se guzarnā hai
mujhe mustaqbil-e-insāniyat ta.amīr karnā hai
uThūñ uTh kar nizām-e-mahfil-e-hastī badal Dālūñ
baḌhūñ baḌh kar badī kī quvvatoñ kā sar kuchal Dālūñ
sarāpā soz ho kar garm kar duuñ qalb-e-hastī ko
tapish-andoziyoñ kā daras duuñ sukkān-e-pastī ko
zamīr-o-fikr-e-insānī kī āzādī kā ḳhvāhāñ huuñ
maiñ nasl-o-rañg-o-ḳhūñ ke imtiyāzoñ se gurezāñ huuñ
ye bazm-e-rañg-o-bū mahrūm-e-rañg-o-bū na ho jaa.e
mujhe Dar hai ki ye duniyā maqām-e-hū na ho jaa.e
sameTūñ markaz-e-insāniyat par zulm barham ko
sikhā.ūñ ehtirām-e-zindagī aulād-e-ādam ko
vaqār-e-ādamiyat se ḳhirad ko āshnā kar duuñ
ġhuzār-e-ishq se ā.īna-e-dil kī jilā kar duuñ
haqīqat āshnā-e-zauq kar duuñ kaj-nigāhoñ ko
jagah deñ nekiyoñ meñ ye mire rañgīñ gunāhoñ ko
miTā kar imtiyāz-e-nek-o-bad sab ek ho jaa.eñ
ḳhudā bhī ek hai bande bhī us ke ek ho jaa.eñ
na gulchīñ ho na sayyād-e-sitam-rāñ kī sitam-rānī
na gul kī chāk-dāmānī na ġhunchoñ kī pareshānī
na tūfāñ ho na tūfāñ meñ ġharīboñ kā jahāz aa.e
ḳhudāyā ham fareb-e-kashtī-o-sāhil se baaz aa.e
ye merī hasrateñ ye ārzūeñ ye tamannā.eñ
jo bar aa.eñ to duniyā ke jahannum sard ho jaa.eñ
mirī ḳhāmosh rātoñ meñ bhī ik halchal sī rahtī hai
duā kartā huuñ maiñ insāniyat āmīn kahtī hai
umangen dil se uTh uTh kar taKHayyul mein sanwarti hain
mere zulmat-kada mein arsh se huren utarti hain
wo meri hasraten wo aarzuen wo tamannaen
jo bar aain to duniya ke jahannum sard ho jaen
yaqin hota hai dil ko jada-e-haq se guzarna hai
mujhe mustaqbil-e-insaniyat tamir karna hai
uThun uTh kar nizam-e-mahfil-e-hasti badal Dalun
baDhun baDh kar badi ki quwwaton ka sar kuchal Dalun
sarapa soz ho kar garm kar dun qalb-e-hasti ko
tapish-andoziyon ka daras dun sukkan-e-pasti ko
zamir-o-fikr-e-insani ki aazadi ka KHwahan hun
main nasl-o-rang-o-KHun ke imtiyazon se gurezan hun
ye bazm-e-rang-o-bu mahrum-e-rang-o-bu na ho jae
mujhe Dar hai ki ye duniya maqam-e-hu na ho jae
sameTun markaz-e-insaniyat par zulm barham ko
sikhaun ehtiram-e-zindagi aulad-e-adam ko
waqar-e-adamiyat se KHirad ko aashna kar dun
ghuzar-e-ishq se aaina-e-dil ki jila kar dun
haqiqat aashna-e-zauq kar dun kaj-nigahon ko
jagah den nekiyon mein ye mere rangin gunahon ko
miTa kar imtiyaz-e-nek-o-bad sab ek ho jaen
KHuda bhi ek hai bande bhi us ke ek ho jaen
na gulchin ho na sayyaad-e-sitam-ran ki sitam-rani
na gul ki chaak-damani na ghunchon ki pareshani
na tufan ho na tufan mein gharibon ka jahaz aae
KHudaya hum fareb-e-kashti-o-sahil se baz aae
ye meri hasraten ye aarzuen ye tamannaen
jo bar aaen to duniya ke jahannum sard ho jaen
meri KHamosh raaton mein bhi ek halchal si rahti hai
dua karta hun main insaniyat aamin kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.