shair ki zindagi ka tajziya karna intihai mushkil hai
ek shā.ir kī zindagī kā tajziya karnā
intihā.ī mushkil hai
ki vo ḳhush hai yā nā-ḳhush
hañstā hai yā rotā hai
yā rote meñ hañstā hai
kuchh bhī faisla andāz andāz meñ kahā jā saktā
ki kuchh kahne se pahle
kyā sochtā hai
kamre kī chār-dīvārī meñ
marnā nihāyat āsān hai
magar lafzoñ kī is gūnā-gūñ duniyā meñ
ek shā.ir kī zindagī kā
tajziya karnā intihā.ī mushkil hai
ki vo zinda hai yā mar chukā hai
ek shair ki zindagi ka tajziya karna
intihai mushkil hai
ki wo KHush hai ya na-KHush
hansta hai ya rota hai
ya rote mein hansta hai
kuchh bhi faisla andaz andaz mein kaha ja sakta
ki kuchh kahne se pahle
kya sochta hai
kamre ki chaar-diwari mein
marna nihayat aasan hai
magar lafzon ki is guna-gun duniya mein
ek shair ki zindagi ka
tajziya karna intihai mushkil hai
ki wo zinda hai ya mar chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.