shair
jo bāteñ
ye log karte haiñ
koī aur
unheñ bayān nahīñ kar saktā
un ke andar
ek duniyā ābād hai
jahāñ hone vaalī har baat
har vāqi.a
mukammal juz.iyāt ke saath
vo hameñ
tahrīrī taur par
pesh kar dete haiñ
shā.ir
apne andar kī riyāsat ke
ġhaddār hote haiñ
vo
ek muḳhbir se ziyāda
koī vaq.at nahīñ rakhte
jo baaten
ye log karte hain
koi aur
unhen bayan nahin kar sakta
un ke andar
ek duniya aabaad hai
jahan hone wali har baat
har waqia
mukammal juziyat ke sath
wo hamein
tahriri taur par
pesh kar dete hain
shair
apne andar ki riyasat ke
ghaddar hote hain
wo
ek muKHbir se ziyaada
koi waqat nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.