shair
shā.ir ko agar aap kabhī DhūñDhnā chāheñ
vo pichhle pahar fikr kī daldal meñ milegā
aur sub.h ko ā.īna liye sāmne apne
ash.ār taġhazzul ke rehearsal meñ milegā
din ko vo jigar-gosha-e-bekārī-o-iflās
bistar pe ḳhayālāt ke jangal meñ milegā
aur shaam ko halqe meñ muridān-e-suḳhan ke
baiThā huā rahmāniya hotel meñ milegā
aur shab ko sar-e-bazm-e-suḳhan sadr ke nazdīk
gāloñ ko phulā.e saf-e-avval meñ milegā
shair ko agar aap kabhi DhunDhna chahen
wo pichhle pahar fikr ki daldal mein milega
aur subh ko aaina liye samne apne
ashaar taghazzul ke rehearsal mein milega
din ko wo jigar-gosha-e-bekari-o-iflas
bistar pe KHayalat ke jangal mein milega
aur sham ko halqe mein muridan-e-suKHan ke
baiTha hua rahmaniya hotel mein milega
aur shab ko sar-e-bazm-e-suKHan sadr ke nazdik
galon ko phulae saf-e-awwal mein milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.