shair
shā.ir tum kitne bhole ho
hañste ho to phuul sā chehra khil uThtā hai
aur agar tum chup hote ho
saarā jahāñ chup chup lagtā hai
shā.ir tum ko yaad to hogā
s l T ke bāhar jab ham tum milte the
botany ke bāhar kī hī bāteñ karte the
shā.ir tum to bhuul chuke hoge vo mele
jin meñ lagte the sapnoñ va.adoñ ke Thele
tum kahte the mele kyā jaanā hai akele
aur phir pahroñ ghūmā karte the ham mele
shā.ir kaash kahīñ phir mil jaao tum mujh ko
tum mujh par phir nazmeñ likhnā
maiñ gore mukhḌe ko tumhāre tasvīroñ meñ qaid karūñgī
maiñ bhole chehre meñ tumhāre rang bharūñgī
shā.ir tum mil jaanā lekin shā.ir tum mil jaanā pāgal
shair tum kitne bhole ho
hanste ho to phul sa chehra khil uThta hai
aur agar tum chup hote ho
sara jahan chup chup lagta hai
shair tum ko yaad to hoga
s l T ke bahar jab hum tum milte the
botany ke bahar ki hi baaten karte the
shair tum to bhul chuke hoge wo mele
jin mein lagte the sapnon wadon ke Thele
tum kahte the mele kya jaana hai akele
aur phir pahron ghuma karte the hum mele
shair kash kahin phir mil jao tum mujh ko
tum mujh par phir nazmen likhna
main gore mukhDe ko tumhaare taswiron mein qaid karungi
main bhole chehre mein tumhaare rang bharungi
shair tum mil jaana lekin shair tum mil jaana pagal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.