shair
tū faqat jism ke zaḳhmoñ pe taḌap jaatā hai
maiñ har ik qalb meñ sau zaḳhm-e-nihāñ paatā huuñ
tū faqat rang kā dīvāna hai bū kā shaidā
maiñ rag-e-gul meñ bhī bulbul kā lahū paatā huuñ
tū faqat dil kī taḌap rakhtā hai siine meñ nihāñ
maiñ taḌaptā bhī huuñ aur tujh ko bhī taḌpātā huuñ
tū faqat chaltā hai manzil tujhe mālūm nahīñ
maiñ tujhe rāh-e-amal baiTh ke dikhlātā huuñ
tujh ko insān kī bāteñ bhī samajhnā hai muhāl
maiñ har ik shai meñ takallum kī adā paatā huuñ
masjid-o-mimbar-o-mehrāb kā pāband hai tū
maiñ har ik zarre meñ tanvīr-e-ḳhudā paatā huuñ
tu faqat jism ke zaKHmon pe taDap jata hai
main har ek qalb mein sau zaKHm-e-nihan pata hun
tu faqat rang ka diwana hai bu ka shaida
main rag-e-gul mein bhi bulbul ka lahu pata hun
tu faqat dil ki taDap rakhta hai sine mein nihan
main taDapta bhi hun aur tujh ko bhi taDpata hun
tu faqat chalta hai manzil tujhe malum nahin
main tujhe rah-e-amal baiTh ke dikhlata hun
tujh ko insan ki baaten bhi samajhna hai muhaal
main har ek shai mein takallum ki ada pata hun
masjid-o-mimbar-o-mehrab ka paband hai tu
main har ek zarre mein tanwir-e-KHuda pata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.