shair
agar mujhe akelā nahīñ dekh sakte
to rahne do isī tarah udaas
ye to mat kaho
ki hamāre kamre meñ rakkhī huī
sab se āḳhirī kursī par baiTh jaao
yā hamāre jūtoñ ke paas
khaḌe ho kar muskurāte raho
yā purānā furniture chamkāne vaalī polish ke liye ek na.ī nazm likh do
maiñ va.ada kartā huuñ
ki kisī bādal kisī phuul
kisī havā kisī sitāre
yā phir kisī ḳhāmoshī meñ
jahāñ bhī jagah milegī
baiTh jā.ūñgā
yā is kamre se bāhar jā kar
bārish meñ khaḌā rahūñgā
agar mujhe akela nahin dekh sakte
to rahne do isi tarah udas
ye to mat kaho
ki hamare kamre mein rakkhi hui
sab se aaKHiri kursi par baiTh jao
ya hamare juton ke pas
khaDe ho kar muskuraate raho
ya purana furniture chamkane wali polish ke liye ek nai nazm likh do
main wada karta hun
ki kisi baadal kisi phul
kisi hawa kisi sitare
ya phir kisi KHamoshi mein
jahan bhi jagah milegi
baiTh jaunga
ya is kamre se bahar ja kar
barish mein khaDa rahunga
- Book : saarii nazmen (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.