shairi ki kitab
ḳhuuñ meñ Duubī huī shā.irī
ġham se vābasta ik naġhmagī
sard hotī huī zindagī zindagī
jaañ ghulātī huī āgahī
ek bujhte hue ḳhvāb kī raushnī
ḳhūbsūrat dukānoñ ke ārāsta shelf meñ
lā ke āḳhir sajā dī ga.ī
ya.anī bikne bikne kī shai hī banā dī ga.ī
likhne vaale kā ehsās apnī jagah
par tijārat ke apne taqāze bhī haiñ
zehn kā ghūñT ho yā ki tiryāq ho
nirḳh-e-bāzār kī nisbatoñ se sabhī
ik sajāvaT banāvaT ke pāband haiñ
dekhiye roz-o-shab kis qadar shauq se
dard kī samt baḌhte haiñ gāhak ke haath
zaḳhm bikte haiñ kitne salīqe ke saath
KHun mein Dubi hui shairi
gham se wabasta ek naghmagi
sard hoti hui zindagi zindagi
jaan ghulati hui aagahi
ek bujhte hue KHwab ki raushni
KHubsurat dukanon ke aarasta shelf mein
la ke aaKHir saja di gai
yani bikne bikne ki shai hi bana di gai
likhne wale ka ehsas apni jagah
par tijarat ke apne taqaze bhi hain
zehn ka ghunT ho ya ki tiryaq ho
nirKH-e-bazar ki nisbaton se sabhi
ek sajawaT banawaT ke paband hain
dekhiye roz-o-shab kis qadar shauq se
dard ki samt baDhte hain gahak ke hath
zaKHm bikte hain kitne saliqe ke sath
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 67)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.