shairi
raat ḳhushbū kā tarjuma karke
maiñ ne qirtās-e-sāz par rakkhā
sub.h-dam
chahchahātī chiḌiyā ne
mujh se aa kar kahā
ye naġhma hai
maiñ ne dekhā
ki mere kamre meñ
chaar sū titliyāñ pareshāñ haiñ
aur darīche se jhāñktā andar
lahlahātā gulāb tanhā hai
raat KHushbu ka tarjuma karke
main ne qirtas-e-saz par rakkha
subh-dam
chahchahati chiDiya ne
mujh se aa kar kaha
ye naghma hai
main ne dekha
ki mere kamre mein
chaar su titliyan pareshan hain
aur dariche se jhankta andar
lahlahata gulab tanha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.