shairi sach bolti hai
laakh pardoñ meñ rahūñ bhed mire kholtī hai
shā.irī sach boltī hai
maiñ ne dekhā hai ki jab mirī zabāñ Doltī hai
shā.irī sach boltī hai
terā isrār ki chāhat mirī betāb na ho
vāqif is ġham se mirā halqa-e-ahbāb na ho
to mujhe zabt ke sahrāoñ meñ kyuuñ roltī hai
shā.irī sach boltī hai
ye bhī kyā baat ki chhup chhup ke tujhe pyaar karūñ
gar koī pūchh hī baiThe to maiñ inkār karūñ
jab kisī baat ko duniyā kī nazar taultī hai
shā.irī sach boltī hai
maiñ ne is fikr meñ kāTeñ ka.ī rāteñ ka.ī din
mire sheroñ meñ tirā naam na aa.e lekin
jab tirī saañs mirī saañs meñ ras gholtī hai
shā.irī sach boltī hai
tere jalvoñ kā hai par tirī mirī ek ek ġhazal
to mire jism kā saaya hai to katrā ke na chal
parda-dārī to ḳhud apnā hī bharam kholtī hai
shā.irī sach boltī hai
lakh pardon mein rahun bhed mere kholti hai
shairi sach bolti hai
main ne dekha hai ki jab meri zaban Dolti hai
shairi sach bolti hai
tera israr ki chahat meri betab na ho
waqif is gham se mera halqa-e-ahbab na ho
to mujhe zabt ke sahraon mein kyun rolti hai
shairi sach bolti hai
ye bhi kya baat ki chhup chhup ke tujhe pyar karun
gar koi puchh hi baiThe to main inkar karun
jab kisi baat ko duniya ki nazar taulti hai
shairi sach bolti hai
main ne is fikr mein kaTen kai raaten kai din
mere sheron mein tera nam na aae lekin
jab teri sans meri sans mein ras gholti hai
shairi sach bolti hai
tere jalwon ka hai par teri meri ek ek ghazal
to mere jism ka saya hai to katra ke na chal
parda-dari to KHud apna hi bharam kholti hai
shairi sach bolti hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 147)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.